X
    Categories: WHATSAPP

2 WhatsApp Account Ek Smartphone Me Kaise Chalaye

Bahut se users aise hai jinke paas dual sim smart phone hai. Aur vo 2 whatsapp account ko access karte hai. Agar aapke paas dual sim mobile phone hai to aap do whatsapp account create kar sakte hai. Lekin ek smart phone se do whatsapp account run karna thoda mushkil hota hai.

Lekin badhti technology ke iss dour me ab aap ek smart phone me do alag alag whatsapp account ko access kar sakte hai. Jyadatar logo ke paas ab aise smart mobile phones hai. Jinme pehle se hi dual manager ya app cloning apps inbuilt hote hai.

Aur kai popular companies alawa bahut si chinese companyan bhi ab aise mobile phone offer karti hai. Jinme cloning apps inbuilt hota hai. App cloning ya dual manager vo apps hote hai. Jinki help se aap apne ek smart phone me double whatsapp account operate kar sakte hai.

Lekin abhi bhi kai logo ke paas aise smart phone hai jinme ye apps available nahi hote hai. Ho sakta hai ki ye mobile apps aapke phone me bhi nahi ho to aapko ghabrane ke jarurat nahi hai. Aap playstore se Multi Acconts, App Clonner. CM AppClone or 2 Lines for Whazzap mobile apps ko apne smartphone me install kar sakte hai.

Inn android apps ki help se aap apne phone me easily 2 whatsapp account operate kar sakte hai. Agar phone me app cloning ya dual manager apps available hai. To janate hai ki ek smartphone me 2 whatsapp account kaise chalate hai.

2 WhatsApp Account Ek Smartphone Me Kaise Chalaye

2 whatsapp account operate karne ke liye aapke smart phone me whatsapp messenger hona jaruri hai. Agar aapne abhi tak whatsapp ko apne phone me download nahi kiya hai. To pehle playstore se whatsapp messenger ko install kar lijiye. Iske baad ek mobile me 2 whatsapp chalane ke niche diye gaye tarike ko follow kare.

#1 Sabse pehle apne smartphone ki settings me jaye. Aur dual manger, clone app ya app twin ko search kare.

#2 Iss settings me aapko dusre app bhi show honge jinko aap clone kar sakte hai. Yahapar whatsapp par tap kare.

#3 Ab ek popup open hoga isme install option par tap kare.

#4 Ab aapke phone me whatsapp ki secondary app install ho jayegi isse open kare.

#5 Iske baad terms & condition par tap kare aur permissions ko allow karte jaye.

#6 Ab whatsapp aapka mobile number puchega. Yahapar aapko apna second mobile number enter karna hai.

Apne dusre mobile number se whatsapp account create karte hi. Ab aap apne smart phone me do whatsapp account ko operate kar sakte hai.

I hope ab aap ek phone me 2 whatsapp chalane ki iss trick ko samajh gaye hoge. Agar aapko ye jankari jankari pasand aayi ho to isse share jarur kare.

Ramesh Singh: Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More