YOU TUBE

Youtube Ki Sabhi Video Me Subscribe Button Kaise Add Kare

Dosto agar aapka youtube par channel hai, to aap jarur ye chahenge ki aapke channel ko jyada se jyada log subscribe kare, kyuki jitne jyada youtube ke subscribers honge, videos bhi utni hi jyada popular hogi, isliye aaj hum aapko batane jaa rahe hai ki youtube video me subscribe button kaise add karte hai.

Agar aap online paise kamana chahte hai to iske liye youtube ek free aur popular website hai, bahut se aise log hai jo youtube se lakho karodo kama rahe hai, aap bhi youtube me video upload karke paise kama sakte hai.

Youtube se paise kamane ke liye aapke videos ke view aur subscribers jitne jyada honge aapke videos bhi utne jyada popular honge aur earning bhi jyada hogi, aur youtube google ki ek free service hai, jisme hum bina invest kiye lakho kama sakte hai, youtube ke bare me aur jyada janane ke liye yaha click kare.

Youtube Ki Sabhi Video Me Subscribe Button Kaise Add Kare

Subscribe button add karne ke liye pehle ek subscribe image taiyar kar lijiye, aur isse apne computer me save kar ke rakh lijiye, kyuki issi image ko hume youtube subscription button ke liye use karna hai, aur iske baad niche diye steps follow kare.

 

Step 1

Sabse pehle apne youtube account me login kare.

Youtube Ki Sabhi Video Me Subscribe Button Kaise Add Kare

  1. My Channel par click kare.
  2. Video manager Par Click kare.

 

 

Step 2

Ab next page me niche diye steps follow kare.

Youtube Ki Sabhi Video Me Subscribe Button Kaise Add Kare

  1. Channel par click kare.
  2. Branding me click kare.
  3. Add a watermark ke button par click kare.

 

 

Step 3

Add a watermark ke button par click karte hi ek popup window open hogi.

Youtube Ki Sabhi Video Me Subscribe Button Kaise Add Kare

  1. Choose File ke button par click kar ke apni computer gallery se subscribe image select kare.
  2. Save button par click kare.

 

 

Step 4

Ab subscribe button image upload hone ka ek popup window khulegi,

Youtube Ki Sabhi Video Me Subscribe Button Kaise Add Kare

  1. Subscribe image upload ho chuki hai, image me dekh sakte hai.
  2. Ek baar phir se save button par click kare.

 

Step 5

Ab jo agli window khulegi isme subscribe button ka display time customize kar sakte hai.

Youtube Ki Sabhi Video Me Subscribe Button Kaise Add Kare

  1. Display time dropdown me aapko 3 option milenge, video me subscribe button show karne ke liye agar puri video par button show karna hai to entire video select kare.
  2. Finally Update button par click kar dijiye.

 

Lijiye dosto aapke youtube videos me subscribe button add ho gaya hai, ab ye buttton aapke har ek video me show hoga, ek baar youtube video ko open kar ke check kar lijiye.

Video Dekhe

Ummed hai aapko youtube ki har video me subscribe button add karne ki ye jaankari pasand aayi hogi, agar aapka koi saval ho to comment karke puch sakte hai, aur youtube me humare hinglish help channel ko subscribe jarur kare.

Aur agar aapko ye jaankari helpful lage to social networking sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Youtube Ki Sabhi Video Me Subscribe Button Kaise Add Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.