MAKE MONEYYOU TUBE

Youtube Video Monetize Kaise Kare, Google Adsense Se Kaise Jode

Youtube video monetize kaise karte hai aur google adsense se kaise jodte hai, aaj ke article me hum ye janane ki koshish karenge.

Youtube ek popular video sharing site hai, aur google ne kuchh samay pehle hi isse kharid bhi liya hai. Har roj lakho videos yaha upload aur share kiye jaate hai, jinko poore world me dekha jaata hai, aur share bhi kiya jata hai aur video upload aur sharing ke liye yeh ek bahut hi badhiya platform hai.

Agar aapka google account hai to aapko youtube me account banane ki bilkul bhi jarurat nahi hai, kyuki aap direct gmail id se yaha login kar sakte hai.

Pichli post me humne jana ki youtube channel kaise banate hai, lekin kya aap jaante hai ki youtube channel banakar video upload karne se hum paise bhi kama sakte hai, agar nahi to jaante hai ki video monetize karke earning kaise karte hai.

Youtube Video Monetize Kaise Kare

Monetization ka matlab hai ki humne apne video par ads service ko activate kar diya hai, aur jab bhi koi humari video ko open karega to sabse pehle logo ko ads show hogi, jisse humari earning hogi. To chaliye aapka jyada samay na lete huye steps by steps jaante hai ki kya aur kaise karna hai.

 

??Youtube Me Without Software Screen Record kaise Kare

Step 1

Sabse pehle youtube me login kijiye.

  1. My channel par click kare.
  2. Video manager me jaye.

 

??Youtube Par Video Upload Kaise Kare

Step 2

Yaha aap apni videos list dekh sakte hai, but aapko channel section me click karna hai.

 

  1. Channel section me jaye.
  2. Status and features click kare.
  3. Monetization ke samne enable button dabaye.

 

??Youtube Se Video Download Kaise Kare

Step 3

Ab agle window me monetization page open hoga.

 

  1. Enable My Account button dabaye.

 

 

??Youtube Video Ko Blog Post Me Kaise Add Kare

Step 4

Ab monitization agreement popup page khulega, chahe to padh lijiye.

 

  1. Sabhi tickbox par tick kare.
  2. I accept button dabaye.

 

??Google Adsense Account Kaise Banaye

Step 5

Ab agle page me aapse ads type ke baare me puchha jayega, isme kuch bhi change nahi karna hai.

 

  1. Monetize ki button par click kare.

 

 

??Chitika Ads Se Online Paise Kaise Kamaye

Step 6

Iske baad ek pop-up window khulegi.

  1.  Got it button dabaye.

 

 

??Facebook Se Earning Kaise Kare

Step 7

Got it button click karte hi aap wapas apne video manager me pahuch jayenge. Yaha aap dekh sakte hai ki videos ke samne $ (dollar) ka sign lag gaya hai, jiska matlab hai ki monetization enable ho gaya hai.

Ab video se earning karne ke liye adsense se connect karna hai.

 

Youtube Channel Ko Adsense Account Se Kaise Jode

Ab aapki videos me ads shuru ho gayi hai, lekin videos se paise kamane ke liye aapko isse adsense account se jodna padega. Iske liye niche diye gaye steps follow kare.

 

??Blog Ke Liye Free Me Mobile App Kaise Banaye

Step 1

Youtube me my channel par jaye.

  1. Video manager par click kare.
  2. Channel par click kare.

 

 

??Indiblogger Community Par Blog Ko Submit Kaise Kare

Step 2

Ab jo agli window opne hogi usme monetization ke samne link par click kare.

  1. Monetization settings ki link click kare.

 

 

??Tumblr Me Free Blog Kaise Banaye

Step 3

Ab ek popup window khulegi.

  1. How will i get paid? dropdown par click kare.
  2. To associate an adsense account ki link click kare.

 

 

??Pinterest Account Kaise Banaye Aur Kaise Use Kare

Step 4

Ab adsense account ke sath connect karne ke liye option aayega.

  1. Next button dabaye.

 

 

??Facebook Photo Par 5 Minutes Me 10000 Likes Kaise Badhaye

Step 5

Ab aapko apne google adsense account par login karna hai.

  1. Log in par click kare.

 

 

??Facebook Trick Continue Reading Link Add Kaise Kare

Step 6

Iske baad aapke adsense account par youtube association ke baare me pucha jayega.

  1. Accept association ki button dabaye.

 

 

??Advance Excel Me Concatenate Formula Kaise Lagaye

Step 7

Ab agli window khulegi isme aap dekh sakte hai ki apka youtube account ka aapke approved adsense account se association ho gaya hai.

  1. Monetization cancel karne ke liye yaha click kar sakte hai.

 

 

Agar aapka google adsense account nahi hai ya phir abhi tak apply nahi kiya hai to jaise hi aap accept association button par click karenge, ek form open hoga, jisme aapko apni saari detail sahi sahi bharni hai, aur phir submit my application button par click karna hai. Ab kuch samay baad google aapko ek verification code by post aapke address par bhejega, jisko aapko apne adsense account me submit karna hai.

Ab jab bhi koi aapki video open karega to pehle ads show honge, jiska matlab hai ki aapki earning shuru ho gayi hai, aur jitni baar aapke videos ko dekha jayega aapki earning utni hi jyada badhegi to iske liye video ko upload karne ke baad usse apne dosto ke sath aur social media sites par jyada se jyada share kare.

Ummeed hai aapko youtube video monetize se related ye post acchi lagi hogi, agar phir bhi koi problem ho ya aapka koi saval ho to aap comment ke jariye humse puch sakte hai, aur agar post acchi lagi ho to social networking sites par apne dosto ke sath isse share karna na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

12 thoughts on “Youtube Video Monetize Kaise Kare, Google Adsense Se Kaise Jode

    • youtube me ek video banakar bhi aap adsense ke liye apply kar sakte hai, lekin video aapke khud ka banaya hona chahiye, aur isko monetize karke aap adsense approve kar sakte hai.

      Reply
      • Sir video monotoze button k sth tick ka sign ku ni show horaha just dollar sign or ek or sign ha tick ka sign ni hai kesy ay ga?

        Reply
  • Google Adsense mai jab 2nd step kar rahe hai to (Your websites) wala accept associate par click nahi ho rahta hai nahi open ho rahta hai kya Kari sir plz help me

    Reply
    • agar aapka google adsense account hai to pehle usse login kar lijiye, uske baad yaha par login kare, agar nahi hai to create an account par click karke bana sakte hai.

      Reply
  • Hello sir humara YouTube video par sab kuch clear hai ,AdSense bhi jod dia hai ,aur video edit karke monetize bhi kar di hai ,$ ka sign bhi aa raha hai lekin WO green nahi ho raha hai ,esse pahle $green tha add bhi aa rahi thi par AB nahi ho raha hai kya kare sir ,pls help me

    Reply
    • ho sakta hai ki aapke video me kuch inappropriate contents honge, jo youtube terms n condition ke apposite hoga. agar aisa kuch nahi hai to video delete karke ek bar fir se apload kijiye.

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.