YOU TUBE

Youtube Se Video Delete Kaise Kare Hindi Guide

Hello friends, pichli kuch posts me mene aapko bataya ki youtube channel kaise banate hai, channel banane ke baad video upload aur monetize kaise karte hai. Aur aaj me aapko bataunga ki youtube se video delete kaise karte hai.

Agar aapne galti se koi video apne youtube channel me upload kar diya hai, ya kisi aur reason se youtube me upload huye video ko remove karna chahte hai, to aasani se kar sakte hai.

Aap ek sath sabhi videos ko delete kar sakte hai, ya kisi ek video ko remove karna ho to vo bhi kar sakte hai. Youtube me apne video ko delete karna bahut simple hai, agar aap nahi janate hai to iske liye niche diye gaye easy steps follow kare.

 

Youtube Se Video Delete Kaise Kare / How To Delete Youtube Video

 

Step 1

Sabse pehle apne youtube account me login kare.

Youtube Se Video Delete

  1. My chennel par click kare.
  2. Video manager me jaye.

 

Step 2

Video manager par click karte hi aapki upload ki gayi youtube video ki list aa jayegi. Inme se jiss video ko delete karna hai usse select kare.

Youtube Se Video Delete

  1. Agar sabhi videos ko delete karna hai to top side tick box me tick kare. Isse sabhi videos select ho jayenge.
  2. Kisi ek video ko remove karne ke liye uske samne tick box me tick kare.

 

 

Step 3

Video select karne ke baad next step follow kare.

Youtube Se Video Delete

  1. Action dropdown menu par click kare.
  2. Delete par click kare.

 

 

Step 4

Ab ek popup open hoga, isme Yes, delete button par click kare.

Youtube Se Video Delete

 

Lijiye delete button par click karte hi aapka youtube video ab delete ho chuka hai.

 

I Hope youtube se video delete kaise kare, aap samajh gaye honge, agar aapka koi saval hai to commente karke puch sakte hai. Ye post acchi lagi ho to isse social media par share bhi jarur kare. Aur humare youtube channel hinglish help ko subscribe bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

8 thoughts on “Youtube Se Video Delete Kaise Kare Hindi Guide

  • M ek video delete kerna chahta hun Jo Ki Kisi ne apne account se upload Ki h .iske liye kya kerna hoga

    Reply
  • Sir kisi other person ne meri video bana kar YouTube par upload kar di hai.maine us video ko YouTube se hatana hai .Kripya karke meri help kijiye.

    Reply
    • iske liye uss video ko open kiiye aur video ke just niche more option par click karke report par click kijiye. ab infringes my rights par tick karke submit kar dijiye.

      Reply
  • Sir, galti se you tube par video upload ho gaya hai,aur you tube ki taraf se complain aa rahi hai copyright ki, please delete karne ka tareeka bataye, aur mera you tube account bhi band kar diya gaya hai. Please jaldi bataye

    Reply
      • Sr mera video glti se bna kr upload kr diye h or hmne bhut request ki pr wo delete nhi kr rhe sr plsss kuch btaiyee koi options taki wo video delete ho ske

        Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.