YOU TUBE

Youtube All Data Transfer Kaise Kare New Youtube Channel Par

New youtube channel par old youtube all data transfer kaise karte hai aaj hum iske bare me janenge. Aap apne youtube channel ki sabhi videos, comments, likes, subscribers etc kisi dusre youtube channel par transfer kar sakte ho. Youtube channel ke all data ko transfer karne ke liye aapke pass pehle se monetized youtube channel hona chahiye. Tabhi aap apne uss channel ko another channel par move kar sakte ho. Youtube ki sabhi videos or all data ko other channel par transfer kaise karte hai. Aaiye niche diye easy steps me janate hai.

Youtube All Data Transfer Kaise Kare New Youtube Channel Par

Step 1

Sabse pehle youtube.com ki site par jaye aur jiss youtube account ka data transfer karna hai usse open kare. Aur top right side me profile image par click kar creator studio ke setting icon par click kare. Ab jo page open hoga yahapar Advanced option par click kare.

youtube all data transfer

 

 

Step 2

Ab next page me aap apne account information me pahuch jayenge. Yahapar move channel to your google account or a different brand account ke link par click kare.

youtube all data transfer

 

 

Step 3

Ab ek popup window open hogi, isme aapko apna google account verify karne ke liye pucha jayega. Yahapar apna password enter kare aur Next button par click kijiye.

youtube all data transfer

 

 

Step 4

Google account ka password verify ho jane ke baad next page me Select desired account ke button par click kare.

youtube all data transfer

 

 

Step 5

Ab aapko kuch available accounts yani ki suggession brand show honge. Aur agar aapne pehle se koi dusra youtube channel banaya hua hai vo iske just niche show honge. Yahapar vo account select kare jispar aap apna current youtube channel move karna chante hai.

youtube all data transfer

 

 

Step 6

New account select karte hi ek popup window khulegi isme aapko delete channel button par click karna hai. Delete channel button par click karte hi aapka old youtube channel aur all data delete ho jayega. Isliye aisa karne se pehle ek bar acchi tarah se check kar lijiye.

youtube all data transfer

 

 

Step 7

Next page me aap check kar sakte ho aapka account kis channel par transfer ho raha hai. Yahapar par aap My channel (now) aur my channel (after move) ki puri detail check kar sakte ho.

youtube all data transfer

 

  1. Yahapar old channel ki detail dekh sakte hai.
  2. Ye vo account hai jahapar aapka old account transfer ho jayega.
  3. Move channel button par click kare.

 

 

Step 8

Ab ek popup window open hogi isme youtube channel ko confirm move karne ke bare aapse pucha jayega. Yahapar Move channel button par click kare.

youtube all data transfer

Note: Youtube data transfer ke sath aapke channel ka name aur icon change hoga. But channel ka web url change nahi hoga.

 

Step 9

Ab jo page open hoga isme aap dekh sakte hai ki aapka channel successfully moved ho gaya hai. OK button par click kare.

youtube all data transfer

Lijye ab aapka youtube channel ke videos, likes, views aur subscribers new channel par move ho gaye hai. Aur ab aap jaan gaye honge ki kis tarah se youtube all data transfer kaise karte hai new channel par. Issi tarah se aap apne kisi bhi youtube account ko easily transfer kar sakte ho.

Youtube all data transfer se related ye post aapko kaisi lagi apne comment me jarur bataye. Agar aapka koi saval hai to comment ke through puch sakte hai. Aur agar aapko ye jaankari helpful lagi ho to social sites par isse share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “Youtube All Data Transfer Kaise Kare New Youtube Channel Par

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.