WORDPRESS

WordPress Par Blog Transfer Karne Ke Baad Kya Kare

WordPress par blog transfer karne ke baad kya kare, aaj iss post me mein aapko batane jaa raha hu. Agar aapne hal hi me apna blogger blog wordpress par migrat kiya hai. Aur wordpress par blog transfer karne ke baad kya kya setting karni hai agar nahi janate hai. To iss post me bataye gaye easy aur simple steps ko follow karke apne wordpress blog ki setting kare.

Blogger to wordpress par move karne ke baad kuch important settings karni bahut jaruri hoti hai. Blog transfer karne ke baad inn jaruri settings se aapke blog ko kafi benefit hoga. Jaise ki aapki blog ki traffic aur search ranking aur bhi jyada increase hogi. Aur aapke blog ka search engine optimization (SEO) bhi  kaafi better rahega.

WordPress Par Blog Transfer Karne Ke Baad Kya Kare

Pichli post me hum ye jaan gaye hai ki blogger blog ko wordpress par transfer kaise karte hai. Aur ab aage ki process me janate hai ki wordpress par blog tranfer karne ke baad kya kare. To chaliye ab aapka jyada time naa lete hue wordpress blog ko kaise set kare.

 

1: Delete Default Content

Blog migrate karne ke baad wordpress sample ke liye hello world! default page create create karta hai. Sabse pehle iss page ko delete kare.  Hello world page ko delete karne ke liye WordPress dashboard >> Posts >> All posts  me jaye. Aur pehle se created sample pages ko delete kar dijiye. Delete karne ke liye page par touch kare aur trash par click kar dijiye.

WordPress Par Blog Transfer Karne Ke Baad Kya Kare

 

 

2: Redirection

WordPress par move karne ke baad blogger ko wordpress par redirect jarur kare. Wordpress aur blogger ki post links me difference hota hai. Aise me aapki jo blogger post pehle search engine me index ho chuki hai. Unn post links par visitors dwara click karne par ek error 404 not found message show hoga. Aur page open nahi hoga jisse ki aapki traffic par bhi bura asar padega. Isliye apni old blogger post links ko wordpress par transfer karne ke baad redirect kar lijiye. Link redirection se aapke blog ki traffic bani rahegi.

Blogger post ko redirect karne ke liye sabse pehle redirection plugin ko install kar lijiye. Iske baad wordpress dashboard >> tools >> redirection par click kare aur bottom side me jaye.

WordPress Par Blog Transfer Karne Ke Baad Kya Kare

 

  1. Source URL me apni old blogger ki post link enter kare. Yahapar blogspot.com ke baad ka part dale.
  2. Target URL me apni post ki new link enter kare.
  3. Add Redirection button par click kare.

 

 

3: Change Internal Links

WordPress par blog transfer karne ke baad sabhi old post me add internal links ko change kare. Kyuki old post me add hue links me blogger permalink ke according html code aur date add hote hai. Aise me agar visitors inn internal links me click karenge to error 404 not found show hoga aur page open hoga. Isliye apni sabhi old post me internal links ko manually jakar change kar dijiye.

Internal links change karne ke liye post ko open kare aur post me jitne bhi other post ke links add hai. Unko remove kare aur unki jagah par new post link add kare.

WordPress Par Blog Transfer Karne Ke Baad Kya Kare

  1. Other post ki link par click kare.
  2. Pencil ke icon par click kare.
  3. Ab ek box open hoga isme old link ko new link se replace kar dijiye.

 

 

4: Set Post Permalinks

Blogger me aap post permalink ke format ko change nahi kar sakte ho. But wordpress blog me post permalinks ko aap apne according customize kar sakte ho.

Post permalinks ko set karne ke liye WordPress dashboard >> Settings >> Permalins me jaye. Yahapar aapko bahut se option milte hai post permalinks ko set karne ke liye, isme post name ko select kare.

WordPress Par Blog Transfer Karne Ke Baad Kya Kare

 

 

5: Recover Post Images

Post se related images post ke liye bahut hi important hoti hai. Aur jo images aap blogger par add karte ho vo wordpress par transfer karne ke baad. Unme se kuch images import nahi ho pati hai. Sabhi to nahi par kuch 5-10 % images wordpress par add nahi ho pati hai. Isliye aapki jo images wordpress par move karte time crack ho gayi hai unko manually fir se upload kare.

 

 

6: Set Yoast Seo Plugin

Yaost ek complete wordpress seo plugin hai, jisme snippet editor aur real time page analysis function ke functions available. hai. Ye plugin blog optimization ko aur bhi jyada increase karta hai. Yahi nahi ye plugin meta descriptions, page contents, images, titles aur xml sitemap ko optimize karke aur adhik favorable banata hai.

Yoast se plugin setup install karke aap apne blog ki complete seo settings kar sakte ho. Aur google search engine, bing webmaster aur yandex webmaster tools ke code ko apne blog me submit kar sakte ho. Agar aap apne blog par aur bhi jyada organic traffic pana chahte hai to iss plugin ko install kare. Iss plugin ki help se aapki site par jyada organic traffic increase hoga. Ye plugin mein bhi use karta hu aur aap bhi isse use jarur kare, aur apne blog ka complete seo settings kare.

 

I hope ab aap samajh gaye honge ki wordpress par blog transfer karne ke baad kya basic settings karni hai. Agar aapka koi saval ho to comment karke puch sakte ho. Aur agar ye jaankari aapko helpful lage to isse social networking sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “WordPress Par Blog Transfer Karne Ke Baad Kya Kare

  • Jaankari very helpfull. Mai bhi apna blog WordPress par shift karna chhahta hu. But 2 question hai -:

    1. Mera AdSense Account new WordPress site par work karega ??

    2. Maine domain nhi liya hai. Blogspot.com use karta hu. To kya mai bina domain k WordPress per shift kar sakta hu.

    Reply
    • aapke adsense account me koi problem nhi aayegi aur wordpress par move karne k liye aapko domain aur hosting dono ki jarurat hogi.

      Reply
  • sir me jo domain blogger par use kar rha hu vhi domain ke saath wordpress par migrate krna hai. To kya? mujhe migrate krne se phle blogger se yh domain remove krna pdega.

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.