WHATSAPP

WhatsApp Video Se GIF File Kaise Banaye

Hello friends, aaj iss post me mein aapko batane wala hu ki whatsapp videos se gif file kaise banaye. Whatsapp video se aap free gifs video create kar sakte hai. Aur apne friends whatsapp friends ko easily send kar sakte hai. Iss process me aapko koi bhi gif creator app download karne ki bilkul bhi jarurat nahi hogi. Aur apne smart phone se kisi bhi video ki free gifs file bana sakte hai. Whatsapp par gif video banakar apne friends ko bhejne ke liye bus aapke paas ek smart phone hona chahiye. Aur kisi bhi tarah ke gif editor ko install karne ki jarurat nahi padegi.

Iske baad aapko niche batayi process ko follow karna hai. Ye process itni easy hai ki aap sirf 2 minutes me hi kisi video ko gif me convert kar apne friends ko send kar sakte ho. Agar aap niche diye steps ko ek bar follow kar lenge to next time se badi aasani se whatsapp videos se gif file banakar apne friends ko send kar sakte hai. To chaliye ab aapka jyada time na lete huye start karte hai aur janate hai ki whatsapp video se gif file kaise banaye.

 

WhatsApp Video Se GIF File Kaise Banaye

Step 1

Sabse pehle apne android mobile me whatsapp open kijiye. Aur apne jiss friend ko gif bhejna hai uska whatsapp pfofile open kare.

WhatsApp Video Se GIF File Kaise Banaye

  1. Bottom side me attachment icon par click kare. Kai phones me ye icon top side me hota hai.
  2. Gallery icon par click kare.

 

 

 

Step 2

Gallery open hone ke baad aapko vo video open karni hai jiski gif file create karna hai. Video open hone ke baad aapko video ki full length show hogi. Yahapar mein aapko bata du ki aap sirf 6 seconds ki gif video create kar sakte ho. Agar video ki length 6 seconds se jyada hogi to aap gif file create nahi kar sakte hai.

WhatsApp Video Se GIF File Kaise Banaye

  1. Video ki length se utna part select kare jitne me 6 seconds complete hote hai. Video ko aage, piche or beech me kahi se bhi select kar sakte hai. Sort karne ke liye age aur piche ki side pointer ko drage kare.
  2. Yahapar aap video ka time yani ki 6 seconds dekh sakte hai.
  3. Video icon par tap karke gif file ka preview dekh sakte hai.
  4. Finally send icon par click kar gif video ko send kar dijiye.

Lijiye send button par click karte hi gif file aapke friends tak pahuch jayegi. Issi tarah se aap kisi bhi video ki free gifs file create kar apne whatsapp friends ko send kar sakte hai. Whatsapp video se gif file kaise banaye ab aap samajh hi gaye honge.

Gif file kaise banaye aur apne whatsapp friends ko kaise send kare ab aap iski puri process ko jaan gaye hai. Phir bhi aapka iss trick se related koi saval ho to apna comment jarur kare. Aur ye jaankari aapko acchi lagi ho to please isse apne friends ke sath share bhi jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.