GOOGLE

Kisi Dusri Website Ka Font Kaise Check Kare

Hello friends, aaj hum aapko ek aisa simple aur useful tarika batayenge, jiski help se se aap kisi other website ka font size aur font style ka pata kar sakte hai, to chaliye janate hai ki kisi dusri website ka font kaise check kare.

Agar aapko kisi website ka font accha lage aur aap uss font ko apne blog me use karna chahte hai, to sabse pehle aapko ye pata hona chahiye ki uss blog par kaun sa font use kiya ja raha hai.

Aur ek baar hume ye pata lag jaye ki kaun si website par kaun se font ka use ho raha hai, to usse hum apne blog par aasani se use kar sakte hai.

Kisi dusri website ka font janane ke liye sabse pehle apne chrome browser par whatfont tool install karna hoga.

Aur whatfont tool sirf chrome browser par hi available hai, to chaliye step by step janate hai kya karna hai.

Whatfont Tool Se Kisi Dusri Website Ka Font Kaise Check Kare

 

??Computer Par Whatsapp Chalane Ki Simple Trick

Step 1

Sabse pehle apne computer me chrome browser ko open kare.

Website Ka Font Kaise Check Kare

  1. Browser ke top rightside me dropdown tab par click kare.
  2. More tools par click kare.
  3. Extensions par click kare.

 

??Hostgator Par Hosting Renew Kaise Kare

Step 2

Ab chrome extention page open hoga, isme bottom side me Get more extensions ki link par click kare.

Website Ka Font Kaise Check Kare

 

??Blog Ki Traffic Increase Karne Ki 8 Popular Tricks

Step 3

Ab agla page chrome web store ka open hoga.

Website Ka Font Kaise Check Kare

  1. Search box me WhatFont type kar search kare.
  2. Ab whatfont install karne ke liye Add to chrome button par click kare.

Ab aapko chrome browser me top righside me address bar ke thik aage whatfont icon show hoga, jiska matlab hai ki whatfont extension installed ho gaya hai, image dekhe.

Website Ka Font Kaise Check Kare

 

 

??Blogger Blog Par Facebook Group Banner Kaise Add Kare

Step 4

Ab jiss website ke font ko check karna chahte hai usse open kare.

Website Ka Font Kaise Check Kare

  1. Top rightside me whatfont icon par click kare.
  2. Ab website ke jiss content ka font check karna hai, uspar click karenge to aapko black popup me font detail show hogi.

 

 

Ummeed hai aapko ye jaankari pasand aayi hogi, agar aapka koi saval hai to comment ke through humse puch sakte hai, aur iss post ko apne dosto ke sath share karna na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

5 thoughts on “Kisi Dusri Website Ka Font Kaise Check Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.