YOU TUBE

Youtube Channel Ke Liye Custom URL Set Kaise Kare

Youtube channel ke liye custom url set kaise karte hai aaj iss post me hum janenge. Agar aapka youtube channel custom link set karne ke liye eligible hai. To aap apne youtube fans ko easy web address de sakte hai. Taki aapke fans aasaani se aapke channel ka url yaad rakh sake.

Agar aap bhi apne viewers ko easy to remember url dena chahte hai. Ya apne channel par ek professional custom url set karna chahte hai to niche bataye easy steps ko follow kare. Youtube channel link change karna koi mushkil kam nahi hai. Bus iski kuch requirements hai jo aapko complete karni hai.

Youtube Custom Url Kya Hai

Internet par jitni bhi websites hoti hai unn sabhi ka koi na koi web address (URL) hota hai. Issi tarah se youtube channel ka bhi web address yani ki url hota hai. Jaise hi aap kisi perticular url ko browser me dalte hai to web page open ho jata hai. Vaise hi youtube channel url dalne par vo channel open ho jata hai.

Youtube channel create karte time by default channel ka url generate hota hai jo kafi bada to hota hi hai. Balki yaad bhi kafi mushkil se hota hai. Aise mushkil youtube channel url ko badalkar hum jo new aur easy url create karte hai usse custom url bolte hai. For example aap hinglish help youtube channel ka custom url youtube.com/c/hinglishhelp dekh sakte hai.

 

Youtube Custom Url Claim Karne Ke Liye Kya Chahiye

  • Youtube channel par kam se kam100 subscribers hone chahiye.
  • Channel 1 month purana hona chahiye.
  • Youtube channel icon ke liye koi photo upload honi chahiye.
  • Channel art upload hona chahiye.

Youtube Channel Ke Liye Custom URL Set Kaise Kare

Agar aapka youtube channel custom link change karne ke liye elible hai to bus ab aapko niche diye kuch easy steps follow karne hai. To chaliye ab start karte hai ki youtube channel url ko change karne ke liye claim kaise karna hai.

Youtube Video Me Custom Thumnail Enable Kaise Kare

Step 1

Sabse pehle apne youtube account me login kare aur ape channel me jaye.

 

  1. Channel profile icon par click kare.
  2. Settings gear icon par click kare.

 

 

Step 2

Ab next page me aapke youtube channel ka setting page open hoga, isme Advanced par click kare.

 

 

 

Step 3

Ab agle page me aapko custom url claim karne ke liye ek message show hoga. Channel settings ke niche you’re eligible for a custom URL. Claim it here ke link par click kare.

 

 

Step 4

Claim it here link par click karte hi ek popup window open hogi. Isme aapko youtube custom url set karne ka option milega. Ya custom link me kuch or add karna hai to iska option bhi show hoga, niche steps follow kare.

  1. Here’s how you’ll look on Youtube: ke niche aapna new youtube custom url dekh sakte hai.
  2. Agar new custom url ke aage aur bhi kuch add karna chahte hai to yaha tick box me tick kare. Isme click karte hi ek or popup open hoga jisme aap aur characters add kar sakte hai.
  3. Terms of condition ke tick box me tick kare. Chahe to terms of use link par click kar padh sakte hai.
  4.  Finally change url button par click kar dijiye.

 

 

Step 5

Ab ek aur popup open hoga, isme youtube custom url change karne ke liye aapse pucha jayega. Apne youtube custom link ko change karne ke liye Confirm choice button par click kare.

Note: Agar ek baar aapne new custom url confirm kar diya to aap dubara se isse change nahi kar sakte hai.

 

Lijiye dosto confirm choice button par click karte hi aapke youtube channel ka custom url change ho jayega. Ab ek baar new tab par apna new custom link dalkar check kar sakte hai.

 

Mujhe ummeed hai aapko samajh me aa gaya hoga ki youtube channel par custom link set kaise karte hai. Phir bhi aapka koi saval ho ya koi problem aaye to niche comment box me comment kar puch sakte ho. Aur agar aapko ye jaankari helpful lage to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Youtube Channel Ke Liye Custom URL Set Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.