ADVANCE EXCEL

Excel Macros Kya Hai Aur Macro Record Aur Use Kaise Kare

Hello friends, advance excel me excel macros kya hai. Aur advance excel me macro ka use kaise karte hai aaj hum iske bare me janenge. Bahut se log aise hai jo ms excel me same work daily karte hai. For example koi table generate karna, kisi data ki formating karna etc. kaam chahe jo bhi ho excel me ek jaisa kaam agar aap daily karte hai to iske liye aap macro record kar sakte ho. Aur apne daily excel work ko easy bana sakte ho. Aur jiss kaam ko karne me aapko kafi samay lagta hai usse aap seconds me kar sakte ho.

Agar aap advance excel me kisi kaam ko daily, weely or monthly basis par karte hai. For example data formating, table create karna or daily work me same formulas ka use karna etc. To iske liye aap manuel work ki jagah par macro record apna kaam easy bana sakte ho. Aur apne kaam ko aur bhi jyada jaldi kar sakte ho. Iske liye aapko sirf ek baar macro record karna hai. Aur jab bhi aapko same data ko process karna ho to usme recorded macro ko run karna hai. Isse fayda ye hoga ki jiss kaam ko aap manually bar bar karte hai vo macro ki help se ek bar me hi ho jayega aur aapka kaafi time bhi save hoga.

Excel Macros Kya Hai

Microsoft excel me macro excel visual basic (vba programming) ka hi ek version hai. Excel worksheet me macro aapki har activities or command ko one by one record karta hai. Aur next time se same job ko process karne me ye excel program humari help karta hai. Macro ka use karke aap apna kafi time save kar sakte hai. Bus aapko macro create karte samay manually command deni hai. Iske baad se same work ko macro ka use karke seconds me kar sakte hai.

 

Extel Macros Kya Hai Aur Advance Excel Me Macro Ka Use Kaise Kare

For example niche image me aap dekh sakte hai ki excel worksheet ki ek column me ek list hai. Isme kuch name, unke contact number aur email id ki detail vertical me hai. Ab hume isme ek name ki puri detail (name, number aur email id) ko ek row me set karna hai. Agar aap iss kaam ko manual karte hai to aapko iske liye cut aur past ka use karna padega. Aise me aapke paas ek badi list hai to data set karne me aapko kafi time lag sakta hai. Isliye iss kaam ke liye macro record kaise karte hai or macro run kaise karte hai aaiye step by step janate hai.

 

Step 1

Sabse pehle excel worksheet me uss list ko open kare jiske liye macro record karna hai.

Excel Macros

  1. View tab par click kare.
  2. Macros sub tab par click kare.
  3. Record macro option par click kare.

 

Step 2

Ab ek box open hoga isme macro name, macro shortcut key, macro store or macro description enter karna hai. Iske liye niche diye steps follow kare.

Excel Macros

  1. Macro name enter kare.
  2. Excel macros ke liye shortcut key asign kijiye. Yahapar Ctrl+Shift+B dekh sakte ho. Issi tarah se aapne bhi koi bhi 3 keys set karna hai macro shortcut key ke liye.
  3. Store macro in dropdown me aapko 3 option show honge, yahapar personal macro workbook ko select kare.
  4. Macro ke liye description enter kar sakte hai, otherwise isse blank rehne dijiye.
  5. Ok button par click kare.

 

Step 3

Ab excel worksheet me di gayi list ko manually cut or paste karke row wise set kar lijiye. For example name ke samne contact number aur email id paste kare. Aur beech ki sabhi rows ko one by one karke delete kar dijiye. Formatting complete ho jane ke baad macro recording ko stop kar dijiye.

Excel Macros

  1. Data ki formatting complete kare.
  2. View tab me macros par click kare.
  3. Stop recording par click kar dijiye.

 

Lijiye excel worksheet me macro completely record ho chuka hai. Ab aap issi tarah ki list ko shortcut key ki help se ek baar me hi set kar sakte hai. Iss macro ke liye humne shortcut key Ctrl+Shift+B set kiya hai. Isliye other same list ko seconds me set karne ke liye aapko in teeno keys ko press karna hai.

 

I hope, aap samajh gaye honge ki excel macros kya hai aur excel macros ka use kaise karte hai. Iss post se related aapka koi bhi saval ho to comment karke puch sakte ho. Aur agar aapko ye jaankari helpful lagi ho to please isse apne friends ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.