PAYTM

Paytm Cash Transfer Kaise Kare Direct Bank Account Me

Direct bank account me paytm cash transfer kaise karte hai aaj iss post me hum janenge. Agar aap paytm wallet app use karte hai. Aur paytm cash ko bank me transfer karna nahi janate hai to niche diye easy steps ko follow kijiye. Isse aap badi aasaani se paytm money ko apne bank account me transfer kar lenge.

Paytm Wallet Ke Kya Fayde Hai

Paytm kya hai ye mein aapko pehle bhi bata chuka hu, phir bhi me aapko yaad dila deta hu. Saal 2010 me paytm ki starting hui thi  aur aaj paytm ek popular online mobile recharge provider ban chuka hai. Pehle jin kamo me humara kafi time waste hota tha, ab paytm ki help unhe badi jaldi kar sakte hai. Jaise ki electricity aur water bill, mobile rechard etc. In short paytm humara ek online wallet hai, jiski help se cash payment se chhutkara milta hai.

Paytm ka use aap apne computer/laptop or mobile me kar sakte ho. Aur daily cash back offers, paytm promo code aur discounts ka benefit bhi le sakte ho. Paytm me aapko strong safety aur security milti hai aur isme aapko 24 hours customer support help bhi milti hai. Aur paytm wallet par money add karne ke liye aapko net banking, credit card aur debit card ki facility milti hai.

Paytm Cash Transfer Kaise Kare Direct Bank Account Me

Bank account me paytm cash transfer karna bahut hi simple aur easy hai. Minimum rs. 100 aur maximum rs. 5000 per day paytm cash aap direct apne bank account me transfer kar sakte ho. To chaliye step by step janate hai ki paytm se cash bank me transfer kaise karte hai.

 

Step 1

Sabse pehle apne android mobile me paytm app open kare. Paytm application me login karne ke baad jo interface open hoga usme  Passbook par click kare. Agar abhitak aapne apne android mobile me paytm wallet app download nahi ki hai to pehle isse download kar lijiye. Aur paytm sign up karke new paytm account create kar lijiye.

Paytm Cash Transfer

 

 

Step 2

Passbook me click karte hi aap apne paytm wallet cash balance me pahuch jaoge. Isme send money to bank ke link par click kare.

Paytm Cash Transfer

 

 

 

Step 3

Ab jo window open hogi isme tranfer ke button par click kare.

Paytm Cash Transfer

 

 

Step 4

Ab nex window me paytm cash transfer karne ke liye ek form open hoga. Isse sahi se fill karne ke liye niche diye steps follow kare.

Paytm Cash Transfer

 

  1. Amount enter kar jitna bank me transfer karna hai.
  2. Apna name enter kare, vahi name bhare jo aapke bank account me hai.
  3. Apne bank account number enter kare.
  4. Bank ka IFSC code enter kare.
  5. Finally send button par click kare.

 

 

Step 5

Ab ek popup hoga isme i confirm check box me tick kare aur proceed button par click kar dijiye.

Paytm Cash Transfer

 

Lijiye thodi hi der me aapka paytm cash direct aapke bank account me transfer ho jayega. Issi tarah se aap daily maximum rs. 5000 aur monthly 25000 tak paytm money ko bank me transfer kar sakte ho.

Hope, bank me paytm cash transfer karne ki ye jaankari aapko pasand aayi hogi. Agar aapka isse related koi saval ho to comment jarur kare. Aur agar ye post aapko helpful lage to isse social sites par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Paytm Cash Transfer Kaise Kare Direct Bank Account Me

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.