PHOTOSHOP

Passport Size Photo Kaise Banaye Photoshop Ki Help Se

Adobe photoshop graphic designing ke liye ek bahut hi popular tool hai. Aur iss tool ko passport size photo create karne ke liye recomend kiya jata hai. Passport size photo ki jarurat hum sabhi ko kisi na kisi kaam ke liye padti rehti hai. Jaise koi form, government documents submit karna ya phir kisi job ke liye apply karna etc.

Apna passport size photo khichwane ke liye agar aap kisi studio me jate hai, to ye aapko per photo ke hisab se thoda costly pad sakte hai. Lekin agar aap khud photoshop me passport size photo banana janate hai to isse aapka kharcha kafi kam ho sakta hai. Aur aapko baar baar studio me photo khichwane ki jarurat bhi nahi hogi.

Agar aap soch rahe hai ki passport size photo kaise banaya jata hai, to mein aapko bata du ki ye bahut hi aasaan hai. Agar aapke paas computer ya laptop hai to isme aapko adobe photoshop application install  karna hoga. Aur phir photoshop ki help se aap kafi fast tarike se passport size photo generate kar sakte hai. Adobe photoshop me passport size photos kaise create karte hai, iski simple trick janane ke liye niche diye steps ko follow kare.

Photoshop Me Passport Size Photo Kaise Banate Hai

 

Step 1

Sabse pehle adobe photoshop application open kare. Aur jiss photo ka passport size create karna hai, usse apne computer gallery se select kare.

passport size photo

  1. File tab par click kare.
  2. Open par click kare, aur photo select kijiye.

 

 

Step 2

Apni photo select karne ke baad isse crop karna hai, iske liye niche diye steps follow kare.

passport size photo

  1. Crop tool par click kare.
  2. Width 1.5 rakhe.
  3. Height 2.0 set kare.
  4. Resolution me 20 set kare.

 

 

Step 3

Ab passport size photo ke liye image ka jitna area chahiye usse mouse se select kare.

passport size photo

  1. Mouse ko scroll karke apni photo ka area size select kare.
  2. Right tick par click kare.

 

 

Step 4

Photo crop hone ke baad Ctrl+A (select all )button dabaye. Aur Ctrl+T dabakar ek frame bana lijiye. Iske baad right tick sign par click kare.

passport size photo

 

 

 

Step 5

Ab next step me photo ko save karna hai.

passport size photo

 

  1. Ctrl+A dabakar photo select kar lijiye.
  2. Edit menu me jaye.
  3. Define pattern par click kare.
  4. File name dijiye aur OK button par click kare.

 

 

Step 6

Ab Ctrl+A dabakar new file open kar width, height aur resolution set kare.

passport size photo

  1. Width 1200 set kare.
  2. Height 800 rakhe.
  3. Resolution 200 set kare.
  4. OK button par click kare.

Note:- Size aap apne according bhi set kar sakte hai.

 

 

Step 7

Iske baad niche diye steps ko follow kare.

passport size photo

  1. Edit menu par click kare.
  2. Fill par click kare.

 

 

Step 8

Ab aapka passport size photo bankar taiyar hai, isse mouse pointer se left/righ ya charo tarf move karke saaf kar lijiye.

passport size photo

 

Clear karne ke baad aapki passport size photo kuch iss tarah dikhegi.

passport size photo

 

Lijiye aapki passport size photo bankar taiyar hai, ab isse save kar dijiye aur jarurat padne par iska printout ya photo banwa sakte hai.

Video Dekhe


Ab aap photoshop me passport size photo banana jaan gaye hai. Agar kisi tarah ki koi problem aaye to comment karke puch sakte hai. Aur agar ye post helpful lage to isse social networking sites par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

11 thoughts on “Passport Size Photo Kaise Banaye Photoshop Ki Help Se

    • sumair bhai pixlr ek online photo editing tool hai, isse bhi phto save karke printout le sakte hai. and thanks for compliment

      Reply
  • Aj kal toh boht sare softwares aa gye hai.. lakin ye behtr hai kafi bakio se..

    Reply
  • MD IMRAN ALAM

    Lekin sir backgroud clour change karna hai to kaise karenge aour chehra saff bhi karna hai

    Reply
    • background change karne ke liye pen tool se background select kijiye, select hone ke baad left side color picker se background color choose kar lijiye, ab rectangle tool ko select karke photo par right click kare aur fill option par click kijiye, dialog box me ok select kare aapki photo ka background change ho jayega. chehra saaf karne ke liye spot handling brush ka use kajiye.

      Reply
  • photo ko printer me kaise bheje….?

    Reply
    • photo ko open kijiye aur top side me print ke option par click karke print nikal sakte ho

      Reply
  • sir apne bahut hi achchi se posr likhi hai mujhe sb kuch samjh a gya hai

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.