SEO

On-Page SEO Kya Hai Content Optimization Ki 12 Most Popular Tips

On-page seo kya hai aur on-page seo ke karne ke liye kaun kaun se popular tips hai. Aaj mein aapko iss post me bataunga. Blogging ek aisa plateform hai jiski help se aap online earning kar sakte hai. Aur apne aap ko bhi popular bana sakte hai.

Blogging se bahut se popular blogger acchi khasi earning to kar hi rahe hai. Aur sath hi name aur fame bhi kama rahe hai. Unki popularity ka karan hai unki writing skill aur unke blog ka better SEO yani ki search engine optimization.

Lekin bahut se new blogger aise hai jinhe SEO ke bare me aadhi adhuri knowledge hai. Aur kuch new blogger jinhone abhi abhi blogging start ki hai. Aur unhe shayd SEO ke bare me kuch bhi pata nahi hai. Iss vajah se vo bahut jaldi hi blogging ko chhod dete hai.

Jiski vajah hai unke blog ka sahi dhang se SEO na hona. Aur SEO na hone ke karan traffic ka kam hona. Jiski vajah se vo nirash hokar jaldi hi blogging ko alvida keh dete hai. Isliye agar aap blogging me success hona chahte hai to aapko SEO ke bare me acche se pata hona chahiye. Aur apne blog ka seo lavel better karne ki tips ko sahi se follow karna chahiye.

SEO Kya Hai

SEO yani ki search engine optimization vo technique hai jisse aap apne blog ko search engine me top rank me la sakte hai. Aur apne blog ka traffic rank aur bhi jyada increase kar sakte hai.

Search engine se high traffic pane ke liye aapki website rank high honi chahiye. Aur apni website ko high rank par aap SEO (search engine optimization) ki help se jaldi hi la sakte hai.

Do tariko se aap apne blog ka SEO (search engine optimization) kar sakte hai. 1) On-page SEO. aur 2) Off-page SEO. Off-page SEO me aapko apne blog par kuch nahi karna hota hai. Iss technique me aapko apne website rank badhane ke liye apne blog se outside kaam karna hota hai.

For example blog post ko other backlink sites me submit karna. Other blog par comment karna aur social networking sites par article share karna etc. Off-page SEO ke bare me mein aapko aage detail me bataunga. Aaj hum iss post me janenge ki on-page SEO kya hai aur website ki on-page SEO ke liye kya kare.

On-Page SEO Kya Hai

On-page SEO karne ke liye aapko apni website me kuch technique or tips ko follow karna hote hai. Jisse search engine me aapki website ya webpage high rank kare. Aur jaldi hi search result me top position par show kare.

On-Page SEO Kya Hai Content Optimization Ki 12 Popular Tips

On-page SEO kya hai ab aap samajh hi gaye honge. Ab baat karte hai ki on-page SEO ke liye apne blog/website me kya kya implements kare. To iske liye niche diye content optimization ki 12 popular tips ko follow karna hoga. To chaliye shuru karte hai aur janate hai ki on-page SEO ke liye kya kya kare.

1. Blog Post Title

Onpage seo ke liye blog post title sabse important hota hai. Kyuki SEO ke liye post title sabse jyada responsible hoga hai. Post title me available keywords hi search engines me post ko rank karne me bahut help karta hai. Aur search engine bhi post title ke keyword se aapki post ki rank decide karta hai. Isliye apni sabhi blog post ka title unique, attractive aur SEO friendly rakhe.

Ab aap soch rahe honge ki post title ko unique, attractive aur seo friendly kaise banaye. To iske liye aap niche diye tips ko follow kare.

  1. Post title me 30-70 Characters use kare isse jyada characters wale post title search result me thik se show nahi hote hai.
  2. Focus Aur targetting keyword use kare post title me aisa keyword istemal kare jo aapki post se related ho. Aapki post jiss bare me ho aap jo bhi post me batana chahte hai usse related keyword ko title me use jarur kare.
  3. Post title me numeric use kare for example “5 best tricks for SEO, “7 most popualar trick to increse website traffic” etc. Numeric wali post title par jyada views milne ke chances bhi high hote hai.
  4. Post title ke starting me focus keyword ka use kare, isse search engines me better result milte hai.

 

2. Post Meta Description

Meta description ka sahi prakar se use karne se aap apni post ko search result me top rank par la sakte hai. Kyuki meta description me use keywords post ko search engine me top rank me lane me aham role play karte hai.

Meta description me jyada se jyada 160 characters ka use kare. Aur inn 160 characters me bhi aise keywords use kare jo aapki post se related ho. Aur jisko users search engines me jyada search karte ho. Meta description me quality keyword use karne se sabhi search engines se traffic milne ke sabse jyada chances hote hai.

 

3. Post Permalink

On-page SEO ke liye jitna important post title hai utna hi important post permalink bhi hai. Permalink post ka web address (URL) hota hai. Aur permalink me bhi focus or post se related keywords ka use jarur kare.

Permalink set karte time iss baat ka dhyan rakhe ki ye jyada long na ho. Kyuki search engines short link ko bhi priority deta hai. Isliye post ka permalink short rakhe aur short permalink me focus aur targetting keyword ka use jarur kare. For example aap iss post ka permalink (URL) dekh sakte hai “on-page-seo-kya-hai”.

 

4. Apear Focus Keyword in First Paragraph

Blog post ke first paragraph me focus or targetting keyword ka use kare. Yani ki aap apne article ki shuruwat jaise bhi kare. Lekin shuru ke 150 words me main keyword ko jarur add kare. Agar aap starting ke 100 words ke beech me focus keyword add karte hai. To google ko ye pata lag jata hai ki aapki post kisse related aur kis bare me hai.

 

5. Post Image Optimization

Apne article me aap kam se kam ek image to jarur add karte honge. To aapko iss baat ka dyna rakhna hai ki image save karte time image ka name aapke focus keyword se related hona chahiye. For example iss post ka focus keyword hai “on-page SEO kya hai” to maine isme jo image add ki hai. Isko maine issi name se save ki hai.

Iske sath hi alternative tag yani ki alt tag me bhi focus keyword ko mention kare. Alt tag me focus keyword ko add karne me google samajh leta hai ki aapki post kis bare me hai. Aur search engine me bhi iska accha impact padta hai.

 

6. Add Internal Links

New blog post me kam se kam 3-5 old posts ko link jarur kare. Aur apne new article se related post link hi post me add kare. Aisa karne se visitors aapke blog par aur jyada time tak rukega. Isse blog ke page views to increase honge hi sath hi bounce rate bhi kam hoga.

 

7. Add External Links

Blog post me external links (other website link) bhi jarur add kare. For example agar aap facebook, google, twitter etc sites ke bare me article likh rahe hai. To aapko uss site ka link bhi apni post me add karna chahiye. Aisa karne se aapki website ki search rank bhi aur jyada high hogi.

 

8. Add Social Sharing Buttons

Apne blog par social sharing buttons ko add jarur kare. Social sharing buttons aapki post ko share karne me users ki help karte hai. Isliye agar aapke readers ko aapki post pasand aati hai. Aur vo isse share karna chahta hai to usse post share karne ka option mil jata hai. Jiski help se vo easily aapki post ko apne friends ke sath share kar sakta hai. Jisse aapke blog ke views increase honge aur aapka article viral hone ke chances hote hai.

 

9. Use Keywords in Headings and Subheadings

Blog post likhte time aap apne contents me heading aur subheading ka use jarur karte honge. Post ki on-page SEO optimization ke liye headings and subheadings H1, H2, H3 me main keyword ka use jarur kare. Headings H1, H2, H3 me focus keyword use karne se aapki post SEO friendly hogi. Aur search engines me bhi aapki post top rank par show hogi.

 

10. Try to Write Big Article

Blog post ko google search engine me first rank par lane ke liye post ki length bhi ek bada factor hai. Isliye aapko apni post me kam se kam 1000 – 2000 contents share karne chahiye. Lengthy contents me aap high quality keywords use kar sakte hai. Aur jitna long article aap likhenge aur usme quality keywords use karenge. Aapki site ka SEO bhi utana hi high hone ke chances bhi badh jate hai.

 

11. Reduce Loading Speed

Aapki site ki loading speed bhi on-page SEO ke liye bahut bada factor hai. Aapki site open hone me kitna time leti hai. Google iske bare me puri jankari apne paas rakhta hai. Isliye aapke blog ka loading time fast hona chahiye.

Agar aapki site ka loading time bahut jyada hai to visitors aapki site pasand nahi karenge. Isliye apni site ka loading time kam se kam 3-4 seconds tak karne ki koshish kare. Ek research ke mutabik 70-80% visitors uss site par dubara visit nahi karte hai jiska loading time 3-4 seconds se jyada ho.

12. Schedule Post

Agar aapka blog post publish karne ka time fix nahi hai to isse aapke blog ko loss ho sakta hai. Jaise aapki site ranking kam ho sakti hai. Aur aapke blog par visitors bhi ghat sakte hai. Blogging me kamyabi pana chahte hai to aapko blog schedule karna hoga. Aur apne blog par schedule post karne ki aadat dalni hogi.

Schedule post karne ka sabse bada fayda ye ki aapki post kab publish hogi, iska visitors ko pata hota hai. Search engine me aapki blog rank high hoti hai. Aur kisi din hum kahi bahar hai, aur post ko khud publish nahi kar sakte hai. To aise me aapke set kiye time par post automatecally publish ho jati hai. Isse aapke blog post ko publish karne ka fix time bhi bana rehta hai.

 

I hope, ab aap samajh hi gaye honge ki on-page SEO kya hai. Aur Content Optimization Ki 12 Popular Tips kaun kaun si hai. Agar ye jankari aapko helpful laga hoto isse apne friends ke sath jarur share kare. Aur agar aapka onpage seo se related koi sujhav hai to comment jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

8 thoughts on “On-Page SEO Kya Hai Content Optimization Ki 12 Most Popular Tips

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.