ADVANCE EXCEL

Hyperlink Image Macro Ka Use Kaise Kare Ms Excel Me

Hello friends, aaj iss post me hum janenge ki microsoft excel me hyperlink image macro ka use kaise karte hai. Microsoft excel me kisi website ya online page se koi contents copy karne par kuch images bhi paste ho jati hai. Aur excel spreadsheet me inn images se link extract karne ke liye excel vba command ka use karte hai.

Aapne website ya online kisi page me kai images dekhi hogi. Jinpar click karte hai to ek new website open ho jati hai. Kyuki inn images me web address link hota hai inhi link ki vajah se image par click karne par new webpage open hota hai.

Aapne websites me email envelope bhi dekhe honge jinpar click karne par email box open hota hai. Excel worksheet me paste email envelope or other web image se link ko kaise extract karte hai aaiye janate hai.

Microsoft Excel Me Hyperlink Image Macro Ka Use Kaise Kare

Step 1

Sabse pehle inn images ko website se copy kar excel worksheet me paste kare.

 

 

Step 2

Excel worksheet me hyperlink image paste hone ke baad Alt+F8 key press kare. Ya upar excel tab me view > macros > view macros par click kare.

  1. Macro name set kare, kuch bhi name set kar sakte hai.
  2. Create button par click kare.

 

 

Step 3

Ab vba command paste karne ke liye jo micro box open hoga isme niche di gayi command paste kare.

Sub GetHyperlinks()

Dim NextRow As Long
Dim Shp As Object

NextRow = 1

For Each Shp In ActiveSheet.Shapes
If Shp.Type = msoPicture Then
Cells(NextRow, “E”) = Shp.Hyperlink.Address
NextRow = NextRow + 1
End If
Next Shp

End Sub

  1. Vba command paste kare.
  2. Play button par click kare.

 

Ab wapas excel worksheet me jaye, yahapar aap dekh sakte hai ki images me jo link hai. Vo excel worksheet me extract ho gaye hai niche image me dekhe.

 

 

Issi tarah se aap hyperlink image macro ka use kar kuch hi seconds me microsoft excel me paste. Kisi bhi hyperlink image se link extract kar sakte hai. Chahe vo excel worksheet me websites se copy ki hui image ho ya email envelope.

I hope aapko hyperlink image macro se related ye jaankari helpful lagi hogi. Excel worksheet me hyperlink image macro ki ye jaankari aapko kaisi lagi comment karke apna feedback jarur de. Aur agar ye post pasand aayi hoto isse share karna na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.