SEO

Indiblogger Community Par Blog Ko Submit Kaise Kare

Agar aap blogger hai aur hindi me blogging karte hai, to apni website ko hindi blogging community me submit karna beneficial rahega, kyuki isse hume website ke liye backlink milti hai, aur iske liye indian blogger community, indiblogger best option me se ek hai.

Agar aapki website ka SEO sahi tarike se hai to search engine me site ko acchi ranking milti hai, aur acchi rank hone ke karan website par traffic bhi increase hota hai.

Kisi dusri high traffic website par apni blog link ko add karne ko off page seo kehte hai, aur isse humara blog traffic par kafi accha asar bhi padta hai, isliye indiblogger par blog ko submit kaise karte hai aaj hum iske bare me janenge.

 

 

Indiblogger Community Par Apne Blog Ko Submit Kaise Kare

Indian blogger community par apne website ko submit karna bahut hi aasaan hai, to chaliye iske liye niche diye gaye easy steps follow kare.

 

??Tumblr Me Free Blog Kaise Banaye

Step 1

Sabse pehle indiblogger community ki official website par jaye.

indiblogger

Ab top center me sign up tab par click kare.

 

 

??Pinterest Account Kaise Banaye Aur Kaise Use Kare

Step 2

Ab agle page me guidelines ko padh le aur Proceed to sign up button par click kare.

indiblogger

 

 

??Blog Post Me Search Description Add Kaise Kare

Step 3

Ab ek form khulega, isse dhyan se bhare.

indiblogger

1. Apne blog ka title dale.

2. Blog ka address dale.

3. Blog se related tag daliye.

4. Blog ki language select kare.

 

indiblogger

5. Apna name likhe.

6. Apni city ka name daliye.

7. Country code ke sath apna mobile number daliye.

8. Apna twitter id daliye, agar nahi hai to skip kar sakte hai.

9. Apna gender select kare.

10. Date of birth daliye.

 

indiblogger

11. Indiblogger user name set kare.

12. Apna email address daliye.

13. Apna password dale.

14. Password re-enter kare.

15. Image se dekhkar captcha code dale.

16. Terms and conditions link ko alag tab me open kare, aur padh lijiye.

17. Finally Sign up button par click kar dijiye.

 

Signup botton par click karte hi ek message show hoga, jisme bataya gaya hai ki aapki email id par activation link bhej diya gaya hai.

indiblogger

 

 

??Blogger Post Body Ke Niche Share Button Kaise Add Kare

Step 5

Ab apni email inbox me jaye aur indiblogger se received email open kare.

9

Email me jo link hoga uspar click kare.

 

 

??Google Search Console Me Website Submit Kaise Kare

Step 6

Ab ek pending moderation ka message show hoga, jiska matlab hai ki aapne indiblogger par account ban gaya hai but approved hona baki hai.

indiblogger

 

Moderation process me lagbhag ek week tak ka time lag sakta hai, aur jaise hi aapka account approved hota hai to appko email ke through notification mil jayega.

 

Ummeed hai dosto aapko ye article accha laga hota, agar phir bhi koi saval hai to aap hume comment ke through puch sakte hai, aur iss post ko apne dosto ke sath share karna bilkul na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

18 thoughts on “Indiblogger Community Par Blog Ko Submit Kaise Kare

  • new blogger ke liye good information hai. mera ek sawal hai. account banane se kaise mera blog ka faida hoga ?

    Reply
    • indiblogger par account banakar apne blog ki har post ko isme submit marna hai, isse aapke post ko bookmarking milegi aur search engine me jaldi aayegi, jisse aapka traffic rank increase hogi, simple.

      Reply
  • Sir me apni blog ko linked me submit krna chahta hu to kese Karu me jab bi new linked acc .Banata hu to wo apne aap hi band ho jati sir muje aap bataye koi solution plzzzzzz

    Reply
  • hello sir, good information, maine ak blog ko submit kiya tha, vo approve ho gya hai, but dusra blog submit karna chahta hu, kyu ki jaisa hi aapna kaha hai vaise hi indiblogger se bahut fayda mil raha hai, to kya ak hi account se dusra blog submit kar sakte hai? ya dusra account create karna hoga, agar ak hi account se second blog submit kar sakte hai to kaise kare? aur ak hi account me se dono blog ke articles share kar sakte hai kya?, aur aapka name maine commenting me bahut suna tha, aaj pahle baar aapke blog ki visit ki, bahut achha hai aur kafi helpful info share karte ho, thank you

    Reply
    • thanks for compliment, indiblogger me aap ek se jyada blog submit kar sakte ho, 2nd blog submit karne ke liye indiblogger profile image par click kar setting me jaiye aur blog par click kijiye, yahapar add another blog button click kar apna dusra blog submit kar lijiye.

      Reply
  • sanju dangar

    thank you so much sir, aapne meri bahut badi muskil hal kar di. vaise me 2 days se ye option ko dhundh raha tha par nahi mila tha, aapne bahut hi clearly reply diya,

    Reply
  • Hi sir
    mene scoop.it par free profile banaya and ek page par message tha only 7 day trial kya ham ise 7 din hi use kar sakte hai koi easa taika nahi hai jo ki ham free me ise hamesa use kar sake.

    Reply
  • Hi sir
    Mene indibloger par account create kiya lekin problem yah hai ki mene email -admin@example.com ka use kiya lekin do din ho gaye abhi tak mere webmail par email verify ka message nahi aaya haimera ek hi blog hai me dubara account banane ki kosis kar raha to blog url type karte hi exit ka message show ho raha hai to ab mujhe kya karna chahiye ki jisse mera IB account carefuly success ho jaye plz help me.

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.