YOU TUBE

Youtube Channel Par 4000 Watch Hours Aur 1000 Subscribers Kaise Badhaye

Hello friends aaj ka humara topic hai ki youtube channel par 4000 watch hours aur 1000 subscribers kaise badhaye. Haal hi me youtube ne creators ke liye new guidelines jaari ki hai. Jisme monetization ko lekar ek bada change kiya gaya hai.

New guidelines ke according ab aapke youtube channel par minimum 4000 watch hours aur 1000 subscribers hone chahiye. Tabhi aapke channel par monetization enable hogi aur aap youtube se earning kar payenge.

Agar aap new youtuber hai to aapko 4000 watch hours aur 1000 subscribers ka ye target complete karna hoga. Aur agar aapka channel pehle se monetized hai to bhi 4000 watch hours aur 1000 subscribers ka criteria complete na hone par aapka channel demonetize ho sakta hai.

Yahapar mein aapko ek baat clear kar du ki agar watch hours aur subscribers aapke channel par pure nahi hai. To aapka channel band nahi hoga balki sirf aapka youtube monetization disable kar di jayegi. Isliye isme ghabrane ki aisi koi baat nahi hai.

Youtube Videos Me Custom Thumbnail Kaise Enable Kare

Aapko youtube ki iss new guidelines ke baad demotivate hone ki bilkul bhi jarurat nahi hai. Balki isse aapko ek challenge ki tarah accept karna chahiye. Aur filhal youtube se earning ke bare me na soche aur continue scheduled aur hard work karte rehna hoga.

Iske sath mein kuch important tips aapko bata raha hu jinhe agar aap follow karte hai. To bahut hi jaldi aap apne channel par 4000 watch hours aur 1000 subscribers paa sakte ho. To chaliye ab aapka jyada time na lete huye shuru karte hai. Aur janate hai ki. Youtube channel par 4000 watch hours aur 1000 subscribers kaise badhaye.

Youtube Channel Par 4000 Watch Hours Aur 1000 Subscribers Kaise Badhaye

Friends youtube channel par 4000 watch hours aur 1000 subscribers increase karna koi mushkil kaam nahi hai. Agar aap niche diye steps ko sahi se follow karte hai. To kuch hi dino me aapke channel par watch hours aur subscribers badhna shuru ho jayenge. Youtube ki new guidelines ko complete karne ke liye niche diye easy tips ko follow kare.

1# Upload New Videos Regularly

Apne youtube channel par 2 se 3 quality videos daily upload kare. Aisa isliye kyuki inme kisi ek video ka performance achhi hogi to vo jaldi hi youtube par rank kar sakti hai. Aur aapke views aur subscribers jaldi se increase ho sakte hai.

2# Create Long & Engaging Videos

Isse pehle youtube guidelines ke according aap 10000 views par apne channel ko monetize kar sakte they. Lekin ab 4k watch hours hone chahiye to watch hours badhane ke liye koshish kare ki lambi aur engaging videos banaye. For example agar aapki video 6 minutes ki hai aur 10 log usse pura watch karte hai. To aapko pura 1 hour ka watch time milega.

3# Use Google Search Engines

Youtube ke sath agar aap apni videos ko google search engines me rank kar dete hai. To aapke videos ke views kaafi jyada badh sakte hai. Kyuki mostly log sabse pehle kisi cheez ko search karne ke liye google ka hi use karte hai.

4# Make Content on Trending Topics

Youtube channel par 4000 watch hours aur 1000 subscribers jaldi se increase karne ke liye koshish kare ki trending topics par videos banaye. Kyuki jo tipics trend me honge unpar views jyada milte hai. Aap apne video se related trending topics ko google trend aur youtue trend me search kar sakte ho.

5# Fix Right Time to Publish Videos

Agar aap apne videos ko sahi time par publish nahi karte hai. To video ke views kam hone ke chances badh jate hai. Aap khud hi sochiye agar aap raat ko 12 baje ke baad koi video publish karte hai. To kya usko log watch karege?. To ab aap samajh hi gaye honge ki video ko sahi time par publish kyu karna chahiye.

Agar aapko video publish karne ka right time pata karna hai. To youtube analytics me realtime feature me jakar aap check kar sakte hai. Ki kis time par views sabse jyada hote hai. Fir daily apne peak time ke according hi same time par videos publish kare.

6# Embed Videos on Your Own Blog

Agar aapka youtube channel ke sath blog ya website bhi hai. To aap youtube video ko blog post me embed karke uske views aur bhi jyada badha sakte ho. Kyuki agar aap blog par youtube video se related post publish karte hai. Aur usme related high quality keywords use karte hai to aapki blog post google search me jaldi rank ho jati hai. Aur agar blog post par views aayenge to embed videos par bhi views increase honge.

7# Use Eye Catching Thumbnail

Youtube videos par sabse jyada views pane ke tariko me se ek hai. Video me eye catching thumbnail ka use karna. Agar aap apne youtube videos me attractive thumbnail ka use karte hai. To log uspar click karke video ko dekhna pasand karenge. Jisse aapke videos ke view counts definetly badhne shuru ho jayenge.

8# Comment on Other Youtube Videos

Youtube videos par views badhane ka ek tarika yeh bhi hai. Ki aap kisi other youtuber ke related videos par comment kare. Yani ki jiss topic par aapne video publish ki hai same ussi topic ke top video par comment kare. Aisa karne se aapka channel ka name comment me show hoga. Aur koi bhi uspar click karke aapke channel par aa sakta hai.

9# Promote Video on Social Networking Sites

Youtube channel par 4000 watch hours aur 1000 subscribers increase karne ke liye. Jitna impotant quality video banakar reularly publish karna hai. Utna hi jaruri usse social media par promote karna bhi hai. Agar aap top social sites par apni video ko share nahi karte hai. To aap video ke kafi views miss kar sakte hai. Isliye youtube par video publish karne ke baad usse social networking sites par bhi promote kare.

10# Promote Videos on UC News

Youtube video ko promote karne ke liye UC news bhi ek better platform hai. Jaha se aap apne video ke views ko boost kar sakte ho. Aur jaldi se jaldi 4000 watch hours complete kar sakte ho. Isliye top social media ke sath uc news par bhi apni video ko share jarur kare.

Friends upar bataye gaye sabhi tarike best aur genuine hai. Jisko follow karke aap apne youtube channel par jaldi hi 4000 watch hours aur 1000 subscribers paa sakte ho. Agar aap kisi invalid ya paid tarike ka use karte hai. To review karte time google adsense aapke channel ko approve nahi karega. Islye upar bataye gaye safe aur genuine tariko ka hi use kare.

Youtube channel par 4000 watch hours aur 1000 subscribers kaise badhaye i hope aap samajh hi gaye honge. Agar aapka isse related koi sujhav ho to niche comment box me de sakte hai. Agar aap ye jankari pasand aayi ho to post ko share karna na bhule, Thanks .

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

3 thoughts on “Youtube Channel Par 4000 Watch Hours Aur 1000 Subscribers Kaise Badhaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.