ADVANCE EXCEL

Microsoft Excel Me Hyperlink Text Macro Ka Use Kaise Kare

Agar aap excel worksheet me websites se copy kiya hua data use karke formating aur editing karte hai. To ye post aapke liye hi hai. Iss post me hum janenge ki excel worksheet me hyperlink text macro ka use kaise karte hai. Website se jab hum kisi contents ko copy karte hai to excel worksheet me direct paste karne par hyperlink text bhi as it is copy ho jate hai. Aur agar excel worksheet me inn hyperlinks par click kare to ye hume linked webpage par pahuch dete hai.

Agar aap hyperlink text me diye gaye link ko excel worksheet me paste karna chahte hai. To iske liye aapko hyperlink text par right click karke edit hyperlink par click karna hoga. Iske baad jo dialog box open hoga isme se link copy kar excel worksheet me past karna hoga. Lekin tab kya kare jab aapki excel worksheet me hyperlink text ek badi list ho. Agar manually one by one karke har link ko open karke copy karenge to iss tarah se aapka kafi time waste hoga. Isliye hyperlink me diye address ko excel worksheet me paste karne ke liye. Mein aapko hyperlink text macro ka use kaise karte hai iske bare me bataunga.

Hyperlink Kya Hai

Hyperlink ya link html text ka vo part hota hai jisme kisi other website ya webpage ka address diya hota hai. Kisi website par diye hyperlink par click karne par hum uss webpage par pahuch jate hai jo address hyperlink se link hota hai. Hyperlink text different color me show hota hai. Aur hyperlink text par mouse touch karne par usme ek underline bhi show hoti hai. Hyperlink par click karke hum kisi website ya koi email box open kar sakte hai. Agar link me website ka url set hai to website open hogi aur agar email address set hai to email box open ho jata hai.

Microsoft Excel Me Hyperlink Text Macro Ka Use Kaise Kare

Maan lijiye ki aapne hyperlink text ki ek badi list website se copy kar excel worksheet me paste kar di hai. Ab iss list me hyperlink text se aapko link (webaddress or email) extract karna hai. To hyperlink text macro ka use karke link extract kaise kare ye janane ke liye niche diye easy steps follow kare.

Step 1

Sabse pehle new excel worksheet open kare aur isme hyperlink text ki list ko pest kare.

  1. Excel worksheet me view tab par click kare.
  2. Macros par click kare.
  3. View macros par click kare.
  4. Ya fir shortcut Alt+F8 use kar sakte hai.

 

Step 2

View macros par click karte hi ek dialog box open hoga.

  1. Macro name enter kare, koi bhi name de sakte hai.
  2. Create button par click kare.

 

Step 3

Ab ek mcrosoft visual basic code box open hoga, isme ye code paste kare.

 

Function HyperLinkText(pRange As Range) As String

Dim ST1 As String
Dim ST2 As String

If pRange.Hyperlinks.Count = 0 Then
Exit Function
End If

ST1 = pRange.Hyperlinks(1).Address
ST2 = pRange.Hyperlinks(1).SubAddress

If ST2 <> “” Then
ST1 = “[” & ST1 & “]” & ST2
End If

HyperLinkText = ST1

End Function

 

 

Step 4

Iske baad wapas apni excel worksheet me jaye aur top hyperlink cell ke agli cell me ye formula [=hyperlinktext(A1] enter kare. Iske baad formula copy kare aur niche ki other cells me paste dijiye.

 

Lijiye hyperlink taxt macro se excel worksheet me available hyperlink text se link extract ho gaye hai. Issi tarah se aap microsoft excel me hyperlink text ki badi se badi list ke links ko seconds me extract kar sakte hai.

 

I hope, ab aap samajh gaye honge ki microsoft excel me hyperlink text macro ka use kaise karte hai. Ms excel ya iss post se related agar aapka koi saval ho to comment karke jarur puche. Aur agar aapko ye jaankari helpful lagi hoto isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “Microsoft Excel Me Hyperlink Text Macro Ka Use Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.