WORDPRESS

Hostgator India Me WordPress Blog Install Kaise Kare – Hinglish Help

Hostgator par wordpress installation bahut hi aasaan hai. Niche diye gaye easy steps follow karke aap aasani se hostgator me wordpress blog install kar sakte hai. Aur aaj ka humara topic bhi yahi hai ki hostgator india me wordpress blog install kaise kare.

WordPress blogging ke liye popular aur best platform hai. Jisme hum self hosted blog bana sakte hai. Mostly website owners apni website ko build karne ke liye iss system ka use karte hai.

WordPress me blog banane ke liye aapko sabse pehle primary domain register karna hoga. Aur godaddy se domain name kaise register karte hai. Iske liye ye post padhe, aur iske sath sath hosting purchase karni hogi. Uske baad hi aap WP par apna blog move kar sakte hai.

 

Hostgator India Me WordPress Blog Install Kaise Kare

Maan lete hai ki aapne domain register kar liya hai aur hostgator se hosting kharid liya hai. To chaliye hostgator par wordpress install karne ke baare me step by step jaante hai.

 

Step 1

Sabse pehle hostgator.in par login kare.

1

  1. Manage orders touch kare.
  2. List/search orders par click kare.

 

Step 2

Ab aapko Manage web hosting par click karna hai.

2

 

 

Step 3

Iske baad ek popup me hostgator cpanel open hoga.

3

Top rightside search box me Softaculous apps installer dalkar search icon par click kare.

 

Step 4

Ab search result me sabse pehle available wordpress icon par click kare.

4

 

 

Step 5

Ab ek installation form open hoga, yaha niche diye gaye steps dhyan se follow kare.

6

7

8

9

  1. Install par click kare.
  2. Choose protocol yaha par aap choose kar sakte hai ki aapki website www ke sath open ho ya without www ke, me aapko suggest karunga ki yaha par http:// hi rehne dijiye.
  3.  Choose domain apne domain ka url select kare.
  4. In directory yaha se wp ko remove kar dijiye kyuki iske sath aapke blog ka url kuch iss tarah hoga, yourdomain.comwp, aur agar isse remove karte hai to url hoga, yourdomain.com.
  5. Site name apni website ka name daale.
  6. Site discription website ke bare me 3-4 words likhiye.
  7. Admin username blog ke liye username chune.
  8. Admin password 100/100 strong password set kijiye.
  9. Admin email email id dale, jisse WP blog ko manage karna hai, dhyan rahe ki issi email id par aapko WP admin detail receive hogi.
  10. Auto upgrade tick box me tick kare.
  11. Automated backup me once a day select kare.
  12. Email installation detail to me apna email id bhare.
  13. Install button par click kare

 

Ab aapke sare steps poore ho gaye hai, kuchh hi minutes me hostgator hosting par aapka wordpress blog install ho jayega. Installation complete hone ke baad aapke email inbox me WP admin detail se related ek message aaya hoga isse dhyan se save karke rakh lijiye.

Apna wordpress dashboard open karne ke liye yourdomain.com/wp-admin url ko internet browser me open kare. Aur WP username aur password se login kare, yourdomain.com ki jagah par apne doman url ko likhe.

 

 

Ab aap hosting par wordpress install karna jaan gaye hai. Fir bhi koi savaal hai to aap comment karke puchh sakte hai. Aur agar ye post acchi lagi ho to isse share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Hostgator India Me WordPress Blog Install Kaise Kare – Hinglish Help

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.