GOOGLE

Google Par Complete Search History Ka Kaise Pata Kare

Google par kisi na kisi jaankari ke liye aap kuch na kuch search karte honge. Jyadatar log online apne savalo ka jawab dhundne ke liye google search engine ka use karte hai. Kisi website or app ke bare me jana ho ya kisi location ka pata karna ho, google search result me aap dekh sakte hai. Lekin kya aap janate hai ki google humari harek activity par nazar rakhta hai. Aur humari search activity record karta hai. Google par complete search history ko kaise dekhte hai, aaj iss post me mein aapko batane jaa raha hu. Aapne Google par abtak kya kuch search kiya hai ye janane ke liye niche diye easy steps ko follow kare.

Google Par Complete Search History Ka Kaise Pata Kare

Step 1

Sabse pehle history.google.com link me jaye. Aur sign in par click kar apna google username aur password se login kare.

Google Par Complete Search History

 

Step 2

Ab jo page open hoga isme apni abtak ki complete activity dekh sakte hai. Yaha par aapki sari old or new google search history hogi.

Google Par Complete Search History

  1. Bundle view par click karke sabh search items dekh sakte hai. Ya phir itemwise dekh sakte hai.
  2. Delete activity by se search history delete kar sakte hai.
  3. Yaha se aap other google activity jaise location, konse device me search kiya ye sab dekh sakte hai.
  4. My account me apne google account setup kar sakte hai.

 

Iss tarah se aap jaan sakte hai ki aapne google par ab tak kya kuch seach kiya. Google aapki privacy ka khas dhyan rakhta hai. Isliye aapke google account ki history aapke alawa koi or nahi dekh sakta hai.

Ye Bhi Padhe

 

Dosto google par complete search history ka pata kaise karte hai, ab aap jaan gaye honge. Agar aapka isse related koi saval ho to comment ke through puch sakte hai. Aur agar ye post helpful lagi ho to isse social media par share bhi jarur kare.

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Google Par Complete Search History Ka Kaise Pata Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.