GOOGLEGOOGLE KEYWORD PLANNERSEO

Google Keyword Planner Tool Ka Use Kaise Kare

Google keyword planner “google adwords” ka ek free keyword research tool hai. Jiska use mostly bloggers apne blog keyword search karne ke liye karte hai. Ye bilkul free keyword research tool hai. Aur aaj hum aapko batayenge ki google keyword planner tool se keyword search kaise kare.

Google Keyword Planner Tool Kya Hai

Jab hum koi word google search engine me search karte hai to humari search ke according google hume search result me sekdo websites ke links show karta hai. Aur jab hum unn me se kisi ek par click karte hai to ek perticular website open ho jati hai. Issi tarah agar hum kisi sabd ko search engine me dalkar kisi website par pahuchte hai to uss sabd ko keyword kehte hai. Aur jo website uss keyword se sabse jyada close hoti hai usse google sabse pehle page par show karta hai. Jisse ki uss website ki traffic rank baad ke pages ke mukable aur bhi jyada increase ho jati hai jo first page par show hoti hai.

Agar aap online business karte hai, ya aapka koi blog hai aur aap chahte hai ki aapka blog ya website search engine ki top rank yani ki first page par show ho to aapko google adwords ki free service keyword planner tool jarur use karna chahiye, kyuki agar aap apne blog ya website ke liye google keyword planner tool me keyword research karte hai, aur uss keyword ko apne blog par use karte hai to jab bhi koi user uss keyword ko search engine me search karega to aapki site search result me sabse pehle page par show hogi, jo ki SEO ke liye bahut accha hai aur ye me aapko pehle hi bata chuka hu ki search result me website ka first page par show hona kitna beneficial hota hai.

Google Keyword Planner Tool Ka Use Kaise Kare

Blog contents bhi keyword kehlate hai but hume post se related focus keyword hi search karna hai, aur uska blog post me use karna hai, blog post ke subject se related keyword ko focus keyword kehte hai, to chaliye step by step jante hai ki google keyword research tool me keyword search kaise karte hai.

??Google Adsense Link Ads Kaise Banate Hai

Step 1

Sabse pehle Google adwords me login kare, agar adwords account nahi hai to pehle google adwords me account banaye.

Google Keyword Planner Tool

  1. Tools par click kare.
  2. Keyword planner me jaye.

 

??Google Adsense Account Kaise Banaye

Step 2

Ab ek form open hoga, isme focus keyword dalkar setting karni hai.

Google Keyword Planner Tool

  1. Your product or service ki field me apna keyword daliye.
  2. Targeting ki field me country select kare, hindi blog ke liye india, pakistan, bangladesh aur nepal choose kar sakte hai.
  3. Language choose kare.
  4. Keywords filters tab ko open kare.
  5. Competition me low par tick mark kare.
  6. Save button par click kare.
  7. Get ideas button dabaye.

 

??Google Search Console Me Website Submit Kaise Kare

Step 3

Ab next window me aapke focus keyword se related result show hoga, iss list me se apne uss keyword ko choose kare. Jiska competition low hai aur suggested bid kam ya average hai.

Google Keyword Planner Tool

Ab focus keywords choose karne ke baad uske samne ad to plan ki field me click kare.

Lijiye aapka kaam ho gaya hai aapne apne blog post ke liye keyword select kar liya hai. Ab baari hai iss keyword ko blog post me use karne ki. To iski jaankari aapko next post me di jayegi.

Google adwords me google keyword planner tool ki help se keyword research kaise karte hai ab aap jaan gaye hai. Fir bhi koi saval ya problem ho to aap comment ke through humse puch sakte hai. Aur ye post acchi lagi ho to isse social networking sites par share karna na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

3 thoughts on “Google Keyword Planner Tool Ka Use Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.