BLOGGERGOOGLE

Google Analytics Ko Adsense Account Se Kaise Jode

Google analytics par adsense ki full earning detail dekhne ke liye aapko apne analytics account ko adsense se jodna padega, aur aaj hum issi ke baare me janenge ki kaise apne analytic account ko adsense account se connect karte hai.

Agar aapka blog ya website hai to aapko google analytic par account banana chahiye aur uske baad apne blog se connect bhi karna chahiye, kyuki esa karne se aap apne visitors ko track kar sakte hai, aur apni site ko aur bhi jyada improve kar sakte hai. Agar abhi tak analytic sign up nahi kiya hai to pehle analytics me account banakar apne blog se jode.

hum google analytic par apne blog ko kai tarike se track kar sakte hai, for example – website par total visitors kitne hai, kaunsi country se kitne visits aa rahe hai, kis age group ke kitne percent hai, real time report yani ki currently kitne visitors active hai aapke site par, aur kon se page par active hai, kausi site se traffic aa raha hai, aur kounse keywords search karke traffic aa raha hai aur iske alawa bhi bahut kuch hai jo aap yaha par track kar sakte hai.

Google Analytics Ko Adsense Ke Sath Kaise Jodte Hai

Google analytics ko adsense se connect karne ke baad hum ye dekh sakte hai ki humari kaun si post se kitni earning aa rahi hai, aur kis tarah ke ads (display or text) ke through kitni earning ho rahi hai, jisse aap apne ads ko improve karne ke liye unhe renovate kar sakte hai. To chaliye step by step dekhte hai ki kya karna hai.

 

Step 1

Sabse pehle google analytic me login kare.google analytics

  1. Admin section me jaye.
  2. Account select kare.
  3. Adsense linking par click kare.

 

??Google+ Me Account Kaise Banaye

Step 2

Ab jo window khulegi usme niche diye steps follow kare.

google analytics

  1. Adsense for content ke aage tick box par click kare.
  2. Link configuration ki link par click kare.

 

??Search Console Me Website Submit Kaise Kare

 

Step 3

Ab agli window me link configuration ke niche dropdown par click kare.google analytics

  1. Poori detail dekhne ke liye all web site data par tick kare.
  2. Enable link button dabaye.

 

??Blog Me XML Sitemap Kaise Submit Kare

Step 4

Ab agli window me done button par click kare.

google analytics

Done button par click kare.

Jaise hi aap done button par click karenge, aapka analytics google adsense se connect ho jayega, aur agli window me linking show hogi, niche image dekhe.

google analytics

Step 5

Ab google adsense se earning ki report dekhne ke liye google analytics par jaye.
google analytics
  1. Reporting section me jaye.
  2. Behavior par click kare.
  3. Publisher me click kare.

 

??Blog Ki Traffic Kaise Badhaye

 

Iss tarah se aap analytics ko adsense se jod sakte hai aur report dekh sakte hai.

Yeh jaankari aapko kaisi lagi apne comment ke through hume jarur bataye, aur agar post pasand aayi ho to share karna bilkul na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

29 thoughts on “Google Analytics Ko Adsense Account Se Kaise Jode

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.