GOOGLE

Google Adwords Me Account Kaise Banaye

“Adwords Adwords” google ki hi ek best online advertising service hai, aur iss service ke through hum apne business ko aur bhi jyada improve kar sakte hai, chahe vo online business ho ya offline business, aur agar aapka blog ya website hai to aap apne blog ki traffic aur  jyada increase kar sakte hai, isliye bhi adwords me account banana aapke liye bahut jaruri ho jata hai, aur aaj ki post me aapko bataya jayega ki google adwords par account kaise banate hai.

Google Adwords Kya Hai Aur Adwords Kyu Use Hota Hai

Blog traffic increase karne me adwords service humari kafi help karti hai, agar aap soch rahe honge ki google adsense blog traffic badhane me kaise help karti hai to me aapko bata deta hu ki jo humare blog par ads hote hai unko visitors tak pahuchane ka kaam adwords service karti hai, aur humari site ke focus keywords ke according related website par advertisement show karti hai, jisse humari website par aur bhi jyada traffic generate hota hai.

Google Adwords Me Account Kaise Banate Hai

Agar koi user google search engine me aapki site se related keywords ko search karta hai to search result me aapki sites ke ads show hote hai, jo ki humari site ke liye kafi beneficial hota hai, lekin ye tab hoga jab aap google adwords me account banakar apni website se connect karenge, to chaliye step by step janate hai ki adwords me kaise signup karte hai.

 

??Google Adsense Link Ads Kaise Banate Hai

??Google Adsense Account Kaise Banaye

Step 1

Sabse pehle google adwords me click kare, aur Sign in to Adwords par click kare aur apni gmail id se login kare, agar id nahi hai to pehle gmail account banaye.

google adwords

 

??Google+ Me Account Kaise Banaye

??Google Analytics Ko Adsense Se Kaise Jode

Step 2

Ab next window me Skip the guided setup par click kare.

google adwords

 

??Google Analytics Me Account Banakar Blog Se Kaise Jode

??Google Search Console Me Website Submit Kaise Kare

Step 3

Ab ek form khulega jisme niche diye steps follow karna hai.

google adwords

  1. Email id bhare.
  2. Country select kare.
  3. Country time zone select kare.
  4. Currency select kare.
  5. Save and continue button par click kare.

Lijiye save and continue button par click karte hi aapka google adwords me account ban jayega, niche image me adwords account create hone ka welcome message dekh sakte hai.

10

 

Dosto ab aapne ye to jaan liya hai ki google adwords account kaise banate hai, aur isse kya benefit hota hai, next article me hum janenge ki adwords account me google keyword planner tool ka use kaise karte hai.

ummeed hai aapko google adwords account se related ye jaankari acchi lagi hogi, phir bhi koi saval ho to comment ke dwara sidhe humse puch sakte hai, aur agar ye article accha laga ho to isse social media par apne dosto ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

11 thoughts on “Google Adwords Me Account Kaise Banaye

  • hlw bro…mera account nhi khul rha he bank detail mang RHA he kya karu

    Reply
    • bank detail nahi bharni hai, agar aapne 3rd step complete kar liya hai to aapka account ban gaya hai, ab tools option me jakar keyword planner me click karke aap iska use kar sakte hai.

      Reply
  • Mera Gmail accept nhi Karaha hai AdWords meh Kya Karu plz reply fast.

    Reply
    • agar aapka gmail account active hai to adword accept jarur karta hai, ek bar other gmail id se try kijiye.

      Reply
  • ye article bahut hi useful hai. aap-ne detail se adwords acount ke baare me bataya hame aap-ki p-ost ko p-adhkar bahut achha laga dhanywaad # ramesh g

    Reply
  • Muje application ki add Karni he lekin AdWords me options Nahi pata please help me

    Reply
    • AdWords account me sign in kare.
      Campaigns tab par click kijiye.
      left menu me new text ad ke liye campaign choose kijiye.
      Ads tab par click market text ads create kar sakte hai

      Reply
  • Sir mera Adsense Account ko approval mil gya hai LeKin mera Blog pr Zero traffic hai isko Kaise increase kru pls help kijiye …
    Kya ain Apke Blog pr Guest Post likh skti hu.. ap mere Blog ki Post dekhkar
    Comment ka reply jarur dijiyega

    Reply
    • Traffic increase karne ke bare me janane ke liye aap pichli post read kar sakte ho. Aur guest post aap send kar sakte ho.

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.