GOOGLE

Gmail Background Themes Kaise Change Kare

Gmail background themes kaise change karte hai. Kaise aap apne gmail account par apni man pasand background photo add kar sakte hai. Iss post me mein aapko batane ja raha hu. Internet use karne wale lagbhag har byakti ka gmail par account hai. Gmail par hum apna free email account bana sakte hai. Aur apne email messages ko send aur receive kar sakte hai. Iske sath hi gmail apne users ko messages ke liye storage bhi provide karta hai. Isse gmail users apni specific messages ko easily search kar sakta hai. Agar aapne abhi tak gmail par apna email account create nahi kiya hai to iss link par click karke apna gmail account create kar lijiye.

Gmail par pehle se hi bahut sari baground themes available hai. To agar aap apne gmail account ke background se bore ho chuke hai. To gmail background themes ki gallery se apni pasand ki theme choose kar sakte hai. Yahapar aapko aapki pasandida colorful aur high definition themses mil jayengi. Jisse aap apne gmail account ka background change kar sakte hai. Yahi nahi aap apni computer gallery se bhi background image choose kar sakte hai . Ya phir aapki koi online saved image hogi to usse bhi aap background ke liye use kar sakte hai.

 

Gmail Background Themes Kaise Add Kare

Gmail account me theme change karna bahut hi aasaan hai. Background themes ko change karne me aapko kuch hi seconds lagenge. Toi chaliye step by step jaan lete hai ki gmail account ka background kaise change karte hai.

 

Step 1

Sabse pehle apne gmail account me login kare.

Gmail Background Themes

  1. Settings dropdown par click kare.
  2. Themes par click kare.

 

 

Step 2

Ab ek popup window open hogi, yahapar pehle se kuch themes available hogi. Aap chahe to inn me se kisi bhi ek theme ko apne gmail account ke liye choose kar sakte hai. Otherwise my photos option se aap apni computer gallery se apni khud ki image select kar sakte ho.

Gmail Background Themes

  1. Inme se koi bhi ek theme jo aapko pasand ho usse select kare.
  2. My photos button par click karke bhi aap apni computer gallery se themes choose kar sakte hai. Ya phir aapki koi image or photo online google par save upload hai. Ya aapke paas kisi image ka url hai to vaha se bhi aap gmail background themes upload kar sakte hai.
  3. Theme select karne ke baad finally save button par click kar dijiye.

 

Lijiye dosto save button par click karte hi aapki gmail background themes upload ho jayegi. Aur aapka gmail accound ka background colorful ho jayega. Iss tarah se aap apne gmail account par apne pasand ke alag alag themes change kar sakte hai.

Ummeed hai ki aap samajh gaye honge ki gmail ka background kaise change karte hai. Phir bhi aapka iss post se related koi saval ho to comment karke puch sakte hai. Mujhe khushi hogi aapko reply karne me. Aur dosto agar aapko ye post pasand aayi ho to isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

 

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.