FACEBOOK

Facebook Page Delete Kaise Kare Hindi Me Puri Jaankari

Pichli post me humne jana ki facebook page kaise banate hai, aur page banane ke baad uspar auto reply kaise start kare. Lekin agar aapne apne facebook account me faltu ke page bana diye hai, aur unko delete karna chahte hai to aaj hum aapko batayenge ki facebook page delete kaise karte hai.

Jitna simple facebook me fan page create karna hai, utna hi aasaan facebook page ko delete karna bhi hai. Lekin agar aapne ek bar apna facebook page delete kar diya to ye wapas nahi aayega. Isliye delete karne se pehle ek baar soch lijiye.

Iska ek alternate option ye hai ki aap apne fb fan page ko unpublish kar dijiye, isse aapka page hide ho jayega aur logo ko show nahi hoga. Aur agar aap page ko permanently delete hi karna chahte hai to iske liye niche diye steps ko follow kare.

 

Facebook Page Delete Kaise Karte Hai

Step 1

Sabse pehle apne facebook account me login kare.

Facebook Page delete

  1. Top rightside me dropdown icon par click kijiye.
  2. Dropdown par click karte hi, aapka facebook page show hoga, isme click kare.

 

Step 2

Ab aap apne facebook page me pahuch jayenge, isme settings par click kare.

 

Facebook Page delete

 

Step 3

Next window me facebook fan page ki settings open hogi.

Facebook Page delete

  1. General par click kare.
  2. Thoda sa scroll down kare aur bottom me Delete your page ke link par click kare.

 

Step 4

Ab ek popup open hoga, isme delete button par click kare.

Facebook Page delete

 

 

Step 5

Ek or page delete ka popup open hoga, isme OK button par click kare.

Facebook Page delete

 

Lijiye aapka facebook fan page ab permanently delete ho gaya hai, ek baar check kar lijiye.

Ye Bhi Padhe

 

 

I hope aapko facebook page delete karne ki ye jaankari acchi lagi hogi, aapko koi saval hai to apna comment jarur karke puch sakte hai. Aur agar ye post helpful lagi ho to isse social media par share bhi jarur kare.

 

Video Dekhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

20 thoughts on “Facebook Page Delete Kaise Kare Hindi Me Puri Jaankari

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.