FACEBOOK

Facebook Me Kisi Post Ki Notifications Turn Off Kaise Kare

Hello friends aaj hum janenge ki faceboom par kisi post ki notifications turn off kaise karte hai. Facebook ki kisi post or status par aap comment karte honge. Aapke comment ke baad jitne bhi users uss post par comment karte hai. Ya facebook par jab bhi koi user aapko tag karta hai. To facebook aapko uss post se related activities aap tak notification ke through bhejta rehta hai. Bahut se logo ko isse kuch khas fark nahi padta hai.

Lekin kai log aise hai jinhe inn facebook notification se problem hone lagti hai. Aur vo inn notifications ko band kar dena chahte hai jispar unhone comment kiya tha. Facebook par kisi perticular post ki notifications ko turn off karne ke liye option available hai. Isliye aapke dwara comment kiye gaye kisi bhi post ki notification ko aap easily block kar sakte ho. Chaliye start karte hai aur janate hai ki facebook par kisi post ki notifications turn off kaise karte hai.

 

Facebook Me Kisi Post Ki Notifications Turn Off Kaise Kare

Facebook me kisi post ki notification ko band karna bahut hi simple hai. Agar aap bhi facebook notifications ko block karna chahte hai to niche diye easy steps ko follow kare.

Notifications Option Se Notifications Turn Off Kare

Facebook par post notifications ko turn off karne ke liye sabse pehle apna facebook account open kare.

Notifications Turn Off

  1. Top right side me notifactions ke icon par click kare.
  2. Jiss post ki notification ko ban karna hai uski rightside me dropdown par click kare.
  3. Turn off notifications about this post par click kare.

 

Turn off notification about this post par click karte hi uss post ki notifications turn off ho jayegi. Aur aage se uske bare me koi bhi notification aapko nahi milegi. Iss action ko aap undo bhi kar sakte hai.

Notifications Turn Off

 

 

Direct Post Se Notifications Turn Off Kare

Facebook post ki notification ko aap direct post se bhi turn off kar sakte ho. Yani ki aap kisi post par comment karna chahte hai. Aur uss post se related activities ki notifications ko block bhi karna chahte hai. To ye aap comment karte time bhi kar sakte ho. Iske liye comment karne ke baad aapko niche diye steps follow karne hai.

Notifications Turn Off

 

  1. Post ke right side me dropdown menu par click kare.
  2. Dropdown me aapko kuch option show honge. Yahapar turn off notifications for this post par click kare.

Lijiye inn dono tariko se aap apne facebook account me kisi bhi post ki notifications ko block kar sakte hai.

 

I hope aapko facebook post notifications turn off karne ki ye jaankari helpful lagi hogi. Agar aapka iss post se related koi saval ho to comment karke jarur puche. Aur agar ye post aapko acchi lagi ho to isse apne friends ke sath share karna na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “Facebook Me Kisi Post Ki Notifications Turn Off Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.