FACEBOOK

Facebook Boost Post Kya Hai Aur Facebook Me Post Promote Kaise Kare

Hello friends, facebook boost post kya hai aur facebook me post ko boost kaise karte hai. Aaj ke iss article me hum janenge. Facebook ek top social networking site hai ye to aap acchi tarah se janate honge. Aur agar aapne facebook page create kiya hai. Aur regular page me new post update karte hai, to aapko apni facebook post ko boost jarur karna chahiye. Facebook post boost karne me aapki jeb se thode paise jarur kharch honge. But aisa karne se aap apni post par likes aur views ko increase kar sakte hai.

Facebook Boost Post Kya Hai

Facebook boost post ek tarah se aapki post ke liye promotion hai. Iski help se aap facebook par apni kisi bhi post ko promote kar sakte ho. Lekin iske liye aapko thoda bahut apni jeb se kharch karna padega. Apne budget ke according aap apni facebook post ko target kar sakte hai. Facebook post ko boost karne ke liye aap apne hisab se 1 day, 1 week, 2 week or jabtak aap chahe, period set kar sakte hai. Aur apni facebook boost post cost select kar sakte hai.

Iske sath hi boost location aur kis age group ke log aapki post ko dekh sakte hai. Ye sab setting aap apni post ko boost karne ke sath kar sakte hai. Sabhi settings karne ke baad aapko aapko payment karna padega. payment ke liye aap apne debit card, credit card, or net banking ka use kar sakte hai easily.

Facebook post promote or boost karne se aap apni post ko jyada se jyada logo tak pahucha sakte hai. Aur apni post me likes aur views increase karwa sakte ho. Boosted post facebook timeline me top me show hoti hai, jisse likes aur views fast tarike se badhte hai. Facebook advertisement ka ye ek bahut hi badhiya option hai, jiski help se log apne business ko promote kar sakte hai.

Facebook Boost Post Kya Hai Aur Facebook Me Post Promote Kaise Kare

Aapne facebook page me upload ki gayi apni post ko dekha hoga. Sath hi post ke bottom right side me boost post ka blue button bhi jarur dekha hoga. Issi button ki help se aap apni facebook post ko promote kar sakte hai. To chaliye ab step by step janate hai ki facebook sponsored posts yani ki facebook post boost kaise karte hai.

 

Step 1

Sabse pehle facebook me login kare aur apne facebook page me jaye. Ab jiss facebook post ko promote karna chahte hai, uske bottom right side me boost post ke button par click kare.

Facebook Boost Post

 

 

Step 2

Ab ek popup window open hogi. Isme location, age limit, post boost time period aur payment method set kare. Facebook page boost ke liye budget aur duration select karne ke baad boost button par click kare.

Facebook Boost Post

 

Step 3

Boost button par click karte hi next window me payment method select karna hai. Isme credit or debit card, netbanking aur paytm ka option available hai. Aapko jo payment method ke through payment karni hai usse select kare. Aur apne card ki detail enter karne ke baad continue ki button par click kare.

Facebook Boost Post

 

Lijiye ab aapki facebook post boost ki sari settings complete ho chuki hai. Issi tarike se aap apni facebook page par publish ki hui kisi bhi post ko boost kar sakte hai. Aur apni post ko facebook platform par jyada se jyada logo ke beech promote kar sakte hai.

Hinglish Help Facebook Page Ko Like Karne Ke Liye Yaha Click Kare

Facebook boost post kaise karte hai, i hope aap samajh gaye honge. Facebook post ko promote karne se related aapka koi bhi saval ho to comment karke puch sakte ho. Agar agar ye post helpful lagi ho to isse social media me share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

32 thoughts on “Facebook Boost Post Kya Hai Aur Facebook Me Post Promote Kaise Kare