ADVANCE EXCEL

Excel Replace Function Ka Use Kaise Kare

Hello friends, iss excel tutorial me hum janenge ki excel replace function ka use kaise karte hai. Excel replace function ek formula hai. Jiski help se aap excel worksheet me kisi perticular cell me available characters set ko replace kar sakte hai.

Excel worksheet ki cell me available text string ko excel replace function ki help se another text string me replace kar sakte hai. Character ki location ke according excel replace function text ko replace karta hai. Isliye aap text string ki location ke base par text or text set ko replace kar sakte hai.

Maan Lijiye agar excel worksheet me kisi cell me 6 character wala koi word hai aur aap uss word ke 4th number wale character ko kisi dusre character se replace karna chahte hai. To excel replace function ki help se aap usse easily replace kar sakte ho.

Excel Replace Function Syntax

=REPLACE(OLD-TEXT,START-NUMBER,NUMBER-CHARACTER,NEW-TEXT)

  • Old Text – Cell address jisko replace karna hai.
  • Start Number – Jiss text set ko replace karna hai uski starting location search.
  • Number Character – Numbers jitne characters ko replace karna hai.
  • New Text – Old text ke place par jo new text replace karna hai.

 

Excel Replace Function Ka Use Kaise Kare

Ab aap samajh hi gaye honge ki excel replace function kya hai. To chaliye ab step by step samajh lete hai ki excel replace function ka use kaise karte hai.

#1 Sabse pehle excel worksheet me text string ki list ko enter kare jisme excel replace function ka use karna hai.

Excel Replace Function

 

#2 Ab list ke agle column me aapko replace function formula ko apply karna hai.

Excel Replace Function

  1. Replace function formula enter kare.
  2. Formula jitne cells me apply karna hai utne me paste kar dijiye.

 

Replace function formula ke according text set ABC 0000 000 me 0000 ko humne 1788 me change kiya hai. Ab aap dekh sakte hai ki 5th location se beech ke 4 character characters 1788 me replace ho gaye hai.

Excel Replace Function

 

Issi tarah se aap excel worksheet me replace function ka use karke kisi bhi location ke characters ko easily replace kar sakte ho. 

I hope, aap samajh gaye honge ki microsoft excel me excel replace function ka use kaise karte hai. Fir bhi aapka koi sawal ho to comment me puch sakte hai. Aur agar ye jankari aapko helpful lagi hoto isse apne friends ke sath share jarur kare.

Ye Bhi Padhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Excel Replace Function Ka Use Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.