ADVANCE EXCEL

Data Validation List Advance Excel Me Kaise Use Kare

Advance excel me data validation list feature ki help se aap control kar sakte hai ki worksheet me kya enter hoga ya kya enter nahi hoga.

Data validation ki help se hum niche diye gaye steps apply kar sakte hai.

  • Kisi cell me items list ki dropdown list creat karna.
  • Kya enter kar sakte hai iske liye custom rules create karna.
  • Date aur whole numbers only ke liye restrict entries etc.

Advance Excel Me Data Validation Ka Use

Typing mistakes, input error me sudhaar ke liye aur data entry ko aasaan banane ke liye validation ka use hota hai.

 

??Advance Excel Ki Jaankari Ke Liye Yaha Click Kare

Data Validation List Advance Excel Me Kaise Use Kare

Dosto iss post me aapko data validation me list function ke bare me jaankari dene ki koshish karunga.

Advance excel me agar aap chahte hai ki worksheet ke kisi column me only apki list ke according selected contect hi key ho.

Aur uss list ke alawa kisi aur character ya word ko column accept na kare to aap data validation list function ki help se ye kar sakte hai.

Iske liye aapko worksheet me acception content ki ek list banani hogi aur uss list me jo bhi aap character ya words dalenge sirf vo hi words validation wale column me key honge.

Aur jo list me nahi honge vo validation column me key nahi honge. Chaliye dosto step by step dekhte hai.

??List Me Only Numeric Ko Kaise Hataye

Step 1

Sabse pehle kisi ek column me apni content ki list banaiye. jaisa ki niche image me dekh sakte hai.

Data Validation List

 

??Advance Excel Me Duplicate Words Kaise Remove Kare

Step 2

List banane ke baad next column me validation lagana hai.

Data Validation List

  1. Column range select kare.
  2. Data tab par click kare.
  3. Sub tab me Data Validation me jaye.
  4. Data validation me click kare.

 

??Excel Me Concatenate Formula Kaise Lagaye

Step 3

Agle step me data validation box open hoga.

Data Validation List

  1. Settings me jaye.
  2. Dropdown menu se List select kare.
  3. Select icon par click kare.
  4. List select kare.
  5. Ok button par click kare.

 

??Advance excel Data Advance Filter Kaise Use Kare

Step 4

Lijiye ab aapki validation ready hai aap chaahe to dropdown icon me click karke dekh sakte hai.

Data Validation List

Ab humari list me A, B, C, D, aur E ke alawa aur kuch bhi key nahi hoga. karke dekhiye.

 

??Excel Formula Me Symbol Kaise Add Kare

Input Message Kaise Lagaye

Data validation list ke sath input message kaise add karte hai, aaiye dekhe.

Data Validation List

  1. Input Message me jaye.
  2. Title bhare ya isse blank rehne dijiye.
  3. Input message box me apna message key kare.
  4. Ok button par click kare.

 

List me input message dekh sakte hai, image dekhe.

Data Validation List

 

 

??Advance Excel Me Data Goal Seek Kaise Use Kare

Validation Me Error Alert Kaise Lagaye

Agar aap chahte hai ki wrong key enter karne par validation list me error alert show ho, to iske liye data validation error alert use kare.

Data Validation List

  1. Error Alert me jaye.
  2. Style choose kare.
  3. Title bhare ya blank rehne dijiye.
  4. Error message likhe.
  5. OK button par click kare.

Iske baad agar aap koi wrong key validaton cell me dalenge, to aapko ek error show hoga, image dekhe.

Data Validation List

Advance excel ki nayi jaankari pane ke liye iss blog ko subscribe jarur kare.

Dosto ye jaankari aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye aur agar ye helpful lage to iss social networking sites par share karna na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

8 thoughts on “Data Validation List Advance Excel Me Kaise Use Kare

  • sir hum jab data validation kar rahe hai to ho raha hai lakin wo ekdam small hone ke karan saaf dikhi nahi de rahe hai un word ko big karne ka koi solution please help

    Reply
    • iske liye aap cell ko mouse se drag karke bada kar sakte hai, ya control+ mouse scroll se size kam jyada kar sakte ho

      Reply
  • SIR HUM WO USE KIYA PER US SE CELL KE UNDER LIKHE WORD BIG HO RAHA HAI LAKIN JO SELECT KARNE KE OPTION AATA HAI WO BIG NAHI HO PA RAHA PLEASE HELP

    Reply
  • SIR ISKA USE KARNKE KE BAAD BHI DROP DOWN KE WORD SMALL HI HAI UNKA SMALL HONE KE KARAN HUM USE NAHI KAR PA RAHE HAI PLEASE HELP

    Reply
    • dropdown ka font size increase karne ke liye jiss sheet me aapka data hai uss sheet par right click kare, aur view code par click kare, ab vba window open hogi isme niche diya code paste kar save kar dijiye, hope aapki dropdown list ka font size increase ho jayega.

      Private Sub Worksheet_SelectionChange(ByVal Target As Range)
      ‘updateby Extendoffice 20160530
      On Error GoTo LZoom
      Dim xZoom As Long
      xZoom = 100
      If Target.Validation.Type = xlValidateList Then xZoom = 130
      LZoom:
      ActiveWindow.Zoom = xZoom
      End Sub

      Reply
  • Manish Kumar

    Sir data validation Karne par woh error batata hai kya kare

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.