MAKE MONEY

Chitika Ads Se Online Paise Kaise Kamaye Hindi Me Jane

Dosto agar aap ghar baithe online earning karne ki soch rahe hai to yeh post aap ke liye hi hai, kyuki is article me hum janenge ki chitika ads se online paise kaise kamaye.
Online paise kamane ka sabse aasan aur badhiya tarika hai ki aap apni website par chitika publisher ki ad lagaye, jisse ki visitors aapki site par aayenge to ads par bhi click karenge aur aapki earning hogi.

Agar aapne abhi tak apni website nahi banayi hai to pehle free me apni website banaye, aur phir chitika ke liye apply kare.

Chitika Kya Hai aur Chitika Ad se Online Paise Kaise Kamaye

Chitika ek advertising site hai jo hame ads provide karti hai, jinhe hum apni website par lagate hai. chitika pay per click(PPC) par paisa deti hai, yani jab bhi visitors hamari site par visit karke ads par click karta hai to hamari earning hoti hai. Ek tarah se chitika apne ads dikhane ke liye hame commission deti hai, jo ki 10$ pure hone par hame milte hai.

Chitika Me Account Banakar Online Paise Kaise Kamaye

Chitika se paise kamane ke liye aapko sabse pehle apna account banana hoga, uske baad apni website par ek code milega jisse aapko apni website par lagana hoga. To Chaliye step by step dekhte hai ki chitika me apna account kaise banate hai.

??Google Adsense Account Kaise Banaye

Step 1

Sabse pehle Chitika website open kare aur “Click here to apply par click kare.

Online Paise Kaise Kamaye

??Youtube Video Monetize Kaise Kare Aur Adsense Se Kaise Jode

Step 2

Ab jo form khulega usse bhare.

Online Paise Kaise Kamaye

  1. Apni email daale. agar email nahi hai to pehle email id banaye.
  2. Go! ki button par click kare.

 

 

??Facebook Se Earning Kaise Kare

Step 3

Iske baad chitika aapko ek email bhejega, apni email open kare aur inbox me “Complete My Application” par click kare.

Online Paise Kaise Kamaye

 

 

Step 4

Ab ek form open hoga isse sahi se bhare.

Online Paise Kaise Kamaye

  1. Apna name bhare.
  2. Surname ya last name daale.
  3. Username chune.
  4. Apni website ka address daale.
  5. Password daale.
  6. Same password dubara daale.
  7. Apni country (India) select kare.
  8. Submit ki button dabaye.

 

Lijiye dosto aapka chitika account ka sign up complete ho chuka hai, ab 1 ya 2 din wait kare, kyuki chitika aproval me itna samay lag sakta hai.

Jaise hi chitika aapke account ko approved karegi to aapke email id par confirmation ka message aayega. Aur iske baad chitika code bhi milega, jisse aap apni website par laga sakte hai.

 

??Read More

??Facebook Ki Jaankari

??Youtube Ki Jaankari

??Twitter Ki Jaankari

??Advance Excel Ki Jaankari

 

Ab aap jaan chuke hai ki chitika account banakar paise kaise kamaye, yeh post aapko kaisi lagi comment karke jarur bataye.

Aur agar ye post acchi lagi ho to isse social networking sites par share karna na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

11 thoughts on “Chitika Ads Se Online Paise Kaise Kamaye Hindi Me Jane

  • 1 – Kya chitka ads baad me hta skte hai jb AdSense apply krne se pahle.
    2 – Kya YouTube pe use kr skte h iske ads.

    Reply
    • chitika ads ko aap jab chahe tab hata sakte hai, aur youtube par chitika ads ko use nahi kar sakte kyuki video moinetize hone ke baad adsense khud apne according ads show karta hai.

      Reply
    • paise chitika account me add honge uske baad usse apne bank account me transfer kar sakte hai.

      Reply
  • एक बार क्लिक करने पर chutika कितने पैसे देती है कम से कम और ज्यादा से ज्यादा

    Reply
    • ye aapki ads quality, impression aur cpm par depend karta hai, agar sab thik hai to aapko per click aprx 1.5 cents tak mil sakte hai

      Reply
  • aapne Bahut badiya post likha hai.
    Mai aapko ek sawal puchna chahta ho.
    kya chitika sirf ads click hone par hi paisa deta hai?

    Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.