SEO

Blog or Website Ki Google Page Rank Kaise Check Kare

Blog or website ki google page rank kaise check karte hai aaj mein aapko iss post me bataunga. Iske liye hum google page rank checker tool ka use karenge. Google pagerank tool ki help se aap apne blaog ka seo level check kar sakte hai. Aur SEO check karne ke baad apne blog me improvement kar sakte hai.

Page rank (PR) increase karne ke liye aapke blog par external links aur high quality backlinks ka hona bahut jaruri hai. Jyada backlinks or external link hone se blog or website ki page rank increase hone ke chances badh jate hai.

Aapke blog ki google page rank, alexa rank or global rank kya hai. External backlinks, page authority, domain authority kya hai. Inn sabhi ko aap google page rank checker tool ki help se easily check kar sakte hai. Aur blog ka SEO level check karke usko apne according customize kar sakte hai.

Google Page Rank Kya Hai

Google algorithm apne according alag alag website or blog ki page rank set karta hai. Jitni better aapki site ka SEO hoga. Aapki site ki page rank bhi utni hi high hogi. Google pagerank 1/10 hoti hai, aur isme sabse high rank 10 hoti hai. High rank unhi website ko milta hai jinpar high quality traffic aur quality backlinks sabse jyada hote hai. Aur Search engine optimization (SEO) level kafi better hota hai.

Google pagerank vo score hai jisse google search engine aapki site ko deta hai. Aur aapki site kaun se page aur place par show karni hai ye decide karta hai. Google pagerank strong hone se blog ki popularity bhi utni hi high hoti hai.

Blog or Website Ki Google Page Rank Kaise Check Kare

Agar aap internet par search karenge to aapko bahut se aise tools mil jayenge. Jinka use karke aap apni site ki google pagerank check kar sakte hai. But google pagerank checker tool ki help se aapko exact jankari milegi. To chaliye ab aapka jyada time na lete huye janate hai ki iss tool ki help se blog ki page rank kaise check karte hai.

 

Step 1

Sabse pehle Check Pagerank.net ki site par jaye.

 

Step 2

Ab next page me aap google page rank checker tool me pahuch jayenge. Isme aap apne blog insight check aur analysis kar sakte hai.

  1. Box me apna blog URL (domain name) enter kare.
  2. Check domain ke button par click kare.

Ab jo next page open hoga isme aap apni site ka full seo specification check kar sakte hai. Aur apne blog ko iss result ke according aur bhi jyada improve kar sakte hai.

Blog or website ka google page rank kaise check karte hai, hope aap samajh hi gaye honge. Agar aapko ye jankari helpful lagi ho to isse share kare. Aur agar aapka koi sujhav ho to comment box me apna comment jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

18 thoughts on “Blog or Website Ki Google Page Rank Kaise Check Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.