FACEBOOK

Facebook Par Candy Crush Saga Notification Ko Block Kaise Kare

Hello friends, facebook me bahut se users aise hai jo candy crush notifications aur request se kafi pareshan ho jate hai. Aur aise games ki join request ko block karna chahte hai. Agar aap bhi apne facebook me candy crush saga notification ko block karna chahte hai to ye post aapke liye hai.

Bahut se aise log hai jo iss tarah ke games ko online khelna pasand karte hai. Lekin kai log aise bhi hai jo isse time ki barbaadi samjhte hai. Aur candy crush or aise dusre games ko online nahi khelte hai. Aur facebook par inki notifications aur request ko bhi band kar dena chahte hai.

Candy crush saga ek most popular mobile game hai, issliye log facebook par apne dosto ko ise online join karne ke liye request send karte rehte hai. Agar aap bhi candy crush saga notification se pareshan hai aur isko band karna chahte hai, to iski vajah aap acchi tarah jante honge. Mostly log bahut jyada candy crush saga ki notification or request milne se irritate ho jate hai. Candy crush sage ki notification ko facebook par kaise roke iske liye niche diye steps follow kare.

 

Facebook Par Candy Crush Saga Notification Ko Block Kaise Kare

 

Step 1

Sabse pehle apne facebook account me login kijiye.

Candy Crush Saga Notification

  1. Top right side me dropdown menu par click kare.
  2. Settings me jaye.
  3. Blocking par click kare.

 

 

Step 2

Ab next page me thoda sa scroll down kare, aur block apps option se candy crush saga notification ko block kare.

Candy Crush Saga Notification

  1. Block apps search box me candy crush search kare.
  2. Candy crush saga par click kare.

 

Lijiye ab aapke facebook par candy crush saga notification block ho gayi hai. issi tarah se aap other games ki notifications ko bhi block kar sakte hai. Aur agar notification ko fir se enable karna hai to unblock par click kar sakte hai, niche image dekhe.

Candy Crush Saga Notification

 

Ye Post Bhi Padhe

 

To friends, facebook me candy crush saga ki notification ko kaise block karte hai, ab aap samajh gaye honge. Agar aapko ye jaankari acchi lagi ho to isse social sites par share kare. Aur iss post se related aapka koi sujhav ho to apne comment ke dwara hume jarur bataye.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.