BLOGGER

Blogger Templates Kaise Upload Kare

Hello friends, humne pichali post me sikha ki free me blog/website kaise banate hai. Aur aaj ki post me hum aapko blogger templates upload karne ke baare me jaankari dene ki koshish karunga.

Humare blog ka template esa hona chahiye ki vo logo tak aasani se pahuch sake. Aur google search me bhi aane lage. Jyadatar log ab internet ka use mobile par karne lage hai. Iss baat ka dhyan rakhte hue humara template mobile friendly bhi hona chahiye, jo ki mobile par bhi aasani se open ho jaye.

Blogger me pehle se hi free template available hai, lekin ye bahut hi purane or old designed hai. Google search engine me aane ke liye hume ek new seo friendly template ki jarurat hogi. Aaj ki post me hum jaanenge ki blogger me pehle se available template aur google se download kiye gaye templates ko blogger me kaise upload karte hai.

Blogger Templates Kaise Upload Kare/How to Upload Blogger Templates

Blogger me available free templates ko upload karne ke liye step by step jaante hai ki kya karna hai.

Step 1

Sabse pehle blogger dashboard me jaye, aur Template par click kare.

blogger templates

 

Step 2

Ab thoda scroll down kare, aur niche list me se jo template upload karna hai, uspar click kare.

blogger templates

 

Step 3

Ab next window me template open ho jayegi, aapko apply to blog button par click karna hai.

blogger templates

Jaise hi aap apply to blog button par click karenge, aapka template blog par upload ho jayega.

Ye to thi blogger me available templates upload karne ki jaankari aaiye ab janate hai ki internet se downloaded templates ko kaise upload karte hai blog me.

Google Se Downloaded Blogger Templates Ko Blog Me Kaise Upload Kare

Online download template ki xml file ko blogger me upload karna hai, agar template ki zip file download ho gayi hai to pehle usse extract kar lijiye, uske baad xml file upload karna hai, chaliye dekhe kaise.

 

Step 1

Sabse pehle blogger ke dashboard me jaye.

blogger templates

  1. Template par click kare.
  2. Backup/Restore button par click kare.

 

Step 2

Ab safety ke liye sabse pehle template ka backup le lijiye uske baad new template upload kare.

blogger templates

  1. Dowload full template ki button par click kare aur backup le lijiye.
  2. Choose file ki button press kare aur apne computer space me jaha template save kiya hai vaha se xml file select karke open ki button par click kare.
  3. Upload ki button pe click kare.

 

Ab aapke blog par new template upload ho gaya hai, chahe to blog me jakar check kar lijiye.

Blogger templates se related ye post aapko kaisi lagi apna feedback jarur de, aur agar koi saval ho to aap hume comment ke through puch sakte hai, aur agar post pasand aaye to niche share button dabakar share karna naa bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

8 thoughts on “Blogger Templates Kaise Upload Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.