BLOGGERDOMAIN & HOSTING

Blogger Me Domain Kaise Add Kare

Hello friends, aap ye to jante hi honge ki blogging karne ke liye blogger bahut hi popular aur best platform hai, aur sabse khas baat ye hai ki isme hum free me blog bana sakte hai, agar aap nahi jante to blogger me free blog kaise banaye hai iss link par click karke bana sakte hai.

Blogger par humari website ka address kuch iss tarah se hota hai www.hinglishhelp.blogspot.com, kyuki ye free me bani hui website hoti hai aur isme humari blog ke name ke sath blogspot.com bhi laga hota hai.

Agar aap apne blog ke liye domain name register karte hai to aapki website ka url kuch iss tarah se ho sakta hai, www.hinglishhelp.com, jo ki ek custome url hai, jiska logo par accha impact bhi padta hai.

Apni website url se blogspot.com ko hatane ke liye aapko domain name register karna hoga aur agar aapne domain register nahi kiya hai to godaddy se domain name register kaise karte hai iss post ko padhe, aur domain registration ke baad blogger me domain kaise add karte hai, aaj hum iske baare me janenge.

Blogger Me Domain Kaise Add Kare

Ab aap samajh hi gaye honge ki blogger me domain add karne ke liye kya kya chahiye, to chaliye blogger me domain add karne ke liye step by step jante hai.

 

 

??Hostgator India Se Hosting Kaise Kharide

Step 1

Sabse pehle blogger me login kare, aur dashboard me jaye.

1

  1. Settings par click kare.
  2. Basic par click kare.
  3. Set up a third-part url for your blog link par click kare.

 

 

??BloggerBlog Ko WordPress Par Transfer Kaise Kare

Step 2

Ab next option me steps follow kare.

 

 

001

  1. yapa par www ke sath me apna domain name dale.
  2. Inn dono code ko domain ke cname me add karna hai, isse ese hi khula rehne dijiye aur new tab me apne domain website open kare aur login kare.

 

 

??Hostgator Hosting Me Wodrpress Install Kaise Kare

Step 3

Ab apne domain website me login kare, for example godaddy site par login kiya ja raha hai.

4

 

  1. Top rightside me apne name par click kare.
  2. Manage my domains par click kare.

 

 

??Google Analytics Ko Adsense Account Se Kaise Jode

Step 4

Next page me aapke domain list open hogi.

5

Ab uss domain par click kare jiko add karna hai.

 

 

??Youtube Video Ko Blogpost Me Kaise Add Kare

Step 5

Ab domain details ka page open hoga.

6

  1. DNS zone file me click kare.
  2. Add record link par click kare.

 

 

 

??Website Ke Liye Terms and Conditions Page Kaise Banaye

Step 6

Ab ek popup open hoga, yaha par steps follow kare.

7 copy

  1. Record type me CNAME (Alias) select kare.
  2. Host me www likhe.
  3. Point to me blogger ka pehla code ghs.google.com dale.
  4. TTL me 1 hour select kare.
  5. Add another button par click kare.

 

 

 

??Blog Ke Liye Contact Us Page Kaise Banaye

Step 7

Ab next option open hoga.

8

 

  1. Record type me CNAME (Alias) rehne de.
  2. Host me blog me aaya hua second code ka pehla part daliye.
  3. Points to me blog me diya gaya second code ka dusra part dale.
  4. Finish button par click kare.

 

 

 

??Blog Banane Ke Baad Kya Kya Kare

Step 8

Ab sabhi setting save karne ke liye option aayega, save karne se pehle cname alias option check kar lijiye.

9

  1. www ke samne ghs.google.com check kare.
  2. Yaha par blog me diye dusre code ke done hisse check kare.
  3. Finally save changes link par click kare.

 

 

 

??Blog Me Twitter Widget Kaise Lagaye

Step 9

Ab apne blogger settings me wapas jaye, aur save button par click kar dijiye.

0001

 

Ab save karte hi blogger settings me niche di gayi image ki tarah se show hoga.

13

 

Lijiye aapke blogger me domain add ho gaya hai, ab ek baar apni site open karke check kar lijiye ki site open ho rahi hai ya nahi, agar open nahi ho to ek baar phir se domain settings check kar lijiye.

Agar sari setting sahi hone ke baad bhi site open na ho to 24 hours tak wait kijiye kyuki kabhi kabhi dns update hone me 24 ghante ka samay lag sakta hai.

Ab jab bhi aap apni website ko open kare to www. ke sath open kare, kyuki ye bina www. ke open nahi hogi.

I hope aapko ye post acchi lagi hogi, agar phir bhi koi savaal ho to aap apne comment ke through puch sakte hai, aur iss post ko apne social media friends ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “Blogger Me Domain Kaise Add Kare

  • aapke bataye anusar sari settings karne ke bad bhi ( We have not been able to verify your authority to this domain. Error 12.) message blogger me show ho rha hai. iske alava DNS zon file me A (host) ko add kiya fir bhi error 12 msg show ho rhe hai. Kya aap bata sakte hai ki ye problem kyu ho rha hai ? And ise thik kaise karte hai ?

    Reply
    • iske liye aap apne blogger dashboard > setting > basic me jaye aur blog address ke box me www. ke sath apna domain name daliye, aur save kijiye, aapki problm solve ho jayegi.

      Reply
  • Ramesh ji ye error blogger ki settings me jakar Third-party domain settings karne par hi aata hai. iske alava maine DNS and CNAMEs: ki settings bhi kar diya hai. aur use kai bar check bhi kiya fir bhi problem solave nhi ho rha. ( We have not been able to verify your authority to this domain. Error 12.) ye error aise hi show hote hai. help me

    Reply
    • aap ek baar Third-party domain settings me [Use a missing files host?] ke aage yes/no change kare, i hope prblm solve ho jayegi

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.