BLOGGER

Blogger Blog New Post Kaise Publish Kare

Hello bloggers, ummeed hai ki aapne bloggger me apna new blog/website bana liya hoga aur ab aap soch rahe honge ki new post ko banakar publish  kaise karna hai, to chaliye dosto aaj hum janenge ki blog new post ko publish kaise karte hai.

Blogger Blog New Post Kaise Create Kare Aur Kaise Publish Kare

 

Step 1

Sabse pehle apne blogger me login kare.

Niche image me diye gaye do options me se aap koi bhi ek choose kar sakte hai, new post create karne ke liye.

1. New post button par click kare.
2. New post likhne ke liye pencil icon par click kare.

 

Step 2

Ab post editor open hoga, yaha par niche diye steps follow kar sakte hai.
blog new post

1 Apni post ki title daale:- Heading aisi rakhe jisko dekhkar samajh me aa jaye ki post kis topic par likhi gayi hai, aur uske ander kis baare me jaankari di jaa rahi hai.

2 Yaha par aapko apni post ke baare me likhna hai, post me jo bhi jaankari dena chahte hai vo sab aapko apne hisab se likhkar taiyar karna hai.

  • Apni post me kam se kam ek image jarur add kare.
  • Chote chote paragraph ka use kare.
  • Post ke liye kam se kam 300 ya jyada sabdo ka use kare. Aisa karna search engine ke liye faydemand hota hai.

3 Post likhne ke baad Publish ke button par click karne se aapki post blog par post ho jayegi aur public ko show hone lagegi.

4 Agar aap chahe to post ko publish na karke save kar sakte hai.

5 Preview ki button par click karke apni post ka look dekh sakte hai.

6 Post ko close kar sakte hai.

Dosto ab aap jaan gaye honge ki blog new post create karne ke baad usko publish kaise karna hai, blogger se related koi bhi saval ho to aap comment karke jarur puch sakte hai, aur agar ye post pasand aayi ho to isse share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “Blogger Blog New Post Kaise Publish Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.