SEO

Blog Ki Traffic Badhane Ke Most Popular Tarike In Hindi

Blog ki traffic badhane ke most popular tarike kaun kaunse hai aaj iss post me mein aapko bataunga. Agar aapka blog hai to uspar high quality traffic hona bahut jaruri hai. Jitni jyada aapke blog par high quality traffic hoga. Aapki earning bhi utni hi jyada hogi. Blogging se acchi earning karne ke liye website traffic volume ka high hona bahut jaruri hai.

Blogging se earning karna puri tarah se aapki web traffic rankings par depend karta hai. Agar aapki website ki traffic rank high hogi to aapka blog bhi jyada popular hoga. Isliye iss post me mein aapko kuch aise simple aur easy tariko ke bare me bataunga. Jinki help se aap apni website traffic ko aur bhi jyada increase kar sakte ho.

Agar aapke blog par quality seo keywords hai aur blog post ka seo label thik hai. To aapke blog par other blog se jyada traffic increase hoga. Aur aapki website traffic jitna high hoga utni hi jyada aapki site better aur popular hogi. To chaliye ab one by one janate hai ki blog ki traffic badhane ke most popular tarike kaun kaun se hai.

Blog Ki Traffic Badhane Ke Most Popular Tarike In Hindi

Iss post me hum aise simple aur easy tariko ke bare me janenge. Jinko aap aasani se use kar sakte hai. Aur badi jaldi hi apne blog ki traffic rank increase kar sakte ho. To agar aap apne blog par high traffic pana chahte hai. To niche bataye easy aur simple tariko ko follow karna start kar dijiye.

Write Better Titles

Blog post title sabse jyada important hota hai isliye aisa title likhe jo attractive ho. Title jyada long na rakhe kam se kam 40 aur jyada se jyada 60 characters ka use kare.

Always Write Good Articles

Blog ki traffic badhane ke most popular tarike me se ek tarika hai. Blog par excellent aur good articles publish karna. Acche aur quality post se blog ki fan following increase hoti hai. blog par good article hone par first visit me hi visitors aapke fan ban sakte hai.

Write Interesting Articles

Blog ki traffic rank increase karne ke liye hamesha interesting articles publish kare. Aur apne visitors ke pasand aur napasand ka bhi dhyan rakhe. Aapke visitors aapke blog par kyu aate hai. Kis topic par unka interest jyada hai iske according hi blog post likhe.

Write Long Articles

Jitne jyada long articles publish karenge aapke blog ka seo label bhi utna high hoga. Aur search engine se aapki site par high aur quality traffic increase hoga. Isliye agar aap search engine me apne blog ko top rank me lana chahte hai. To hamesha bade aur long articles post karne ki aadat bana lijiye. Meximum 1000 se 1500 words tak ke long articles publish kare.

Write Short Interesting Articles

Long articles likhne ka ye matlab bilkul nahi hai ki aap blog par short articles nahi likh sakte. Balki agar aap short but interesting articles ya best article likhte hai. For example kisi tips ya koi tricks ke bare me to badi post se much better hogi. Short but interesting articles likhne ke liye kam se kam 300 words ka use kare.

Use High Ranking Keywords In Articles

Blogpost me high ranking keywords ka use karna. Blog ki traffic badhane ke most popular tarike me sabse jyada important hai. Post me jitne jyada high ranking keywords ka use karenge. Blog ki traffic rank aur search engine ranking bhi utni hi high hogi. High ranking keywords research ke liye aap google adwords ka use kar sakte hai.

Update Blog Regularly

According to study jitni baar aap apne blog ko update karenge blog par utna hi jyada traffic receive hoga. Google fresh contents ko higher priority deta hai. Isliye article me fresh aur high quality contents ka use kare. Agar aap blog ki search ranking ko increase karna chahte hai to kam se kam ek week me do bar blog update kare.

Use High Quality Images

Blog post me hamesha badhiya aur high quality images ka use kare. Jitni badhiya aur better quality images ko aap blog post me use karenge. Utni hi jyada visitors attract honge aur post bhi attractive hogi. Aap google se kisi bhi image ko use nahi kar sakte hai. Iske liye aap free stock images ka use kar sakte hai. Free photos ko use karne ki bahut sari sites hai. Jinme se Pixabay se aap easily free images use kar sakte hai.

Promote Article with Social Media

Har ek blog post ko social media jaise facebook, twitter, google plus, linkedin, pinterest sahit other social networking sites par share kare. Social networking sites se bhi jyada se jyada traffic pa sakte hai. Isliye inn sabhi sites me apna blog name se page create kare aur har ek blog post ko share kare. Blog post publish karne ke baad share kaha kaha kare janane ke liye click kare.

Learn Your Niche

Sabse pehle aap ye decide kijiye ki aapke visitors kaun se hai vo kya padhna chahte hai. Iska dhyan rakhte hue niche blogging kare. Vese blog niche do prakar ke hote hai single niche aur multi niche. Aur Dono ke alag alag benefit aur loss hote hai.

Add Social Sharing Buttons

Blog ke top ya bottom side me social sharing button add jarur kare. Aisa karne se aap apne visitors ko option dete hai. Aapki post ko dusro ke sath share karne ka jisse blog ka traffic aur bhi jyada increase hoga.

Write Guest Posts

Apne blog se related other top blog ko search kare aur unn blogs par guest post karne ke liye blog owner ko puche. Guest post se aapko backlink milegi aur blog ki traffic rank bhi high hogi. Iske sath hi dusre bloggers ko bhi apne blog par guest post karne ke liye invite kare. Hinglish Help me guest post kaise kare janane ke liye click kare.

Use Incorporate Links

Blog post me kisi other company ya website ke product aur service ko mention karne. Aur link add karne se aap backlinks create kar sakte hai. Isliye jab bhi aap kisi other product or service se related post likhte hai to unke link ko jarur add kare. According to google aapki site par outbound link bhi hone chahiye.

Add Videos

Youtube par channel create kare aur blog post se related video banakar post me add kare. Aur apni site ko youtube par submit karke dofollow backlinks bana sakte hai. Aisa karne se youtube se bhi traffic generate hone lagega.

Invest for Promotion

Blog ki traffic rank ko aur bhi jyada increase karne ke liye aap paid promotion bhi kar sakte hai. Investment karte hi aapki post boost hona start ho jayegi. Aap apne according budget ko invest karke social sites par post ko rank kara sakte hai.

To dosto ye kuch tips they jo maine aapke sath share kiye hai. Inko aap ek baar jarur follow kare. Agar koi important tarika iss post me skip ho gaya ho to aap apna sujhav de sakte hai.

I hope blog ki traffic badhane ke most popular tarike aapko pasand aaye honge. Agar aapka iss post se related koi saval ho to comment kare. Aur agar ye article aapko accha lage to isse apne friends ke sath share karna na bhule

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “Blog Ki Traffic Badhane Ke Most Popular Tarike In Hindi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.