MAKE MONEY

Bitcoin Kya Hai Aur Bitcoin Se Earning Kaise Kare

Bitcoin kya hai aur bitcoin se earning kaise karte hai aaj hum iss post me janenge. Fast way to make money ke liye bitcoin ek bahut hi better option hai. Agar aap online fast money gain karna chahte hai to ek baar bitcoin trading ko use jarur kare.

Vaise online make money banane ke bare me mein aapko pehle bhi bata chuka hu. Fir bhi agar aapko nahi pata ki facebook se earning kaise karte hai, youtube se paise kaise kamate hai. Ya internet se ghar baithe paise kaise kamaye to inn links me jakar dekh sakte hai.

Agar aapka khud ka blog hai to adsense ki help se aap kafi paisa kama sakte hai. Lekin aaj hum bitcoin se paise kaise kamate hai iske bare me baat karenge. To chaliye start karte hai aur janate hai ki bitcoin kya hai aur bitcoin se earning kaise karte hai.

Bitcoin Kya Hai

Agar aap janana chahte hai ki bitcoin kya hai to mein aapko bata du ki bitcoin ek virtual currency hai. Dallar aur rupees ki tarah ye bhi ek currency hai but isse hum dekh ya touch nahi kar sakte hai. Lekin bitcoin ko online wallet me store karke rakha ja sakta hai. Puri duniya me bitcoin ek cryptocurrency aur digital payment system hai. Aur isme users bina intermediary ke directly transaction kar sakte hai. Kyuki bitcoin kisi organization company or government ke control me nahi hai aur ye open source platform hai. Isliye isme hui transactions ka koi bhi pata nahi laga sakta hai.

Satoshi nakamoto namak byakti ne sun 2008 me bitcoin ko banaya tha.  Aur 2009 tak iska use mostly log karne lage they. Shuru shuru me bitcoin value indian rupees ke mukabale bahut kam thi. Lekin samay ke sath bitcoin value me bahut bada uchhal aaya hai. Aur aaj ke time me bitcoin price lagbhag 1 bitcoin = 6,61,028 ke barabar hai. Jiss prakar 1 dollar me 100 cents hote hai thik ussi prakar 100,000,000 satoshi se milkar 1 bitcoin banta hai.

Bitcoin Kya Hai Aur Bitcoin Se Earning Kaise Kare

Buy bitcoin aur sell bitcoin se aap acchi khasi earning kar sakte hai. Yani ki bitcoin kharidkar kuch samay wait kare, aur jab bitcoin price high ho jaye to usse bech de. Aisa karne aap bitcoin se acche paise kama sakte hai. Jiss tarah se share market me ups & downs aate rehte hai. Thik ussi prakar bitcoin value bhi flactuate hoti rehti hai.

Agar aapke paas extra money hai to hi bitcoin me invest kare. Kyuki isme utar chadhao aate rehte hai. Forexample aaj aapke bitcoin account me 10 rs hai to kal 20 rs ho sakte hai. Aur parso 5 rs bhi ho sakte hai. Isliye other kamo me use hone wale paise bitcoin me invest na kare. Aur hamesha jab bhi bitcoin me invest kare extra money hi invest kare. Aur thode long time ke liye isme paise invest kare.

Bitcoin Purchase Kaise Kare

Bitcoin me invest karne aur bitcoin trading ke liye aapko exchange option ki jarurat hogi. Jiske through aap apne paiso se bitcoin purchase kar sakte hai. India me bitcoin exchange karne ke liye aap zebpay, coinsecure aur unocoin ka use kar sakte hai.

Zebpay se bitcoin exchange kaise karte hai, aaj hum iske bare me janenge. Zebpay par bitcoin account verification kaise karte hai. sell bitcoin aur buy bitcoin kaise karte hai aaiye janate hai.

Step 1

Sabse pehle play store se Zepbay App ko apne android mobile me install kar lijiye. Zepbay installation complete hone ke baad isme apna bitcoin account banaye. Zebpay par account banate samay referral code REFRAME9931 enter karna na bhule. Kyuki isse aapko 100 rs ka bonus account banate time mil jayega.

 

Step 2

Zepbay par account create karne ke baad ab account ko verify karna hai.

Bitcoin Kya Hai

  1. Verification option me jane ke baad PAN card ki detail bhare.
  2. PAN Card Verify Ho Jane ke baad bank detail submit karni hai. Aapka jo name PAN card me hai, ussi name se bank me bhi account hona chahiye.
  3. Address detail me apne ghar ka pata enter kare. Iske sath hi kyc ke liye aadhar card ki photo upload kare.

Zepbay account verification me lagbhag 48 hours tak k time lag sakta hai. Ek baar aapka zebpay account verify ho jaye, iske baad aap easily bitcoin sell aur purchase kar sakte hai.

 

Step 3

Zepbay account ki verification complete hone ke baad ab aapko isme paise add karne hai. Iske baad hi aap bitcoin purchase kar sakte hai.

Bitcoin Kya Hai

  1. Zepbay par money add karne ke liye deposit button par click kare.
  2. Deposit amount enter kare. Bitcoin value ke according iss time 2500 rs se kam amount depost nahi hogi.
  3. Payment mode select kare. RTGS/NEFT/IMPS mode se minimum 5000 aur meximum 20,00,000 tak submit kar sakte hai. Aur iska processing time 1 working day tak hoga. Lekin agar individually bitcoin trading karna hai to payment gateway mode ko choose kare. Isme minimum 2500 aur meximum 50,000 tak deposit karne hai aur iska processing time bhi bahut kam 30 minutes tak hai.

 

Step 4

Zepbay par paise deposit hone ke baad ab bari hai bitcoin purchase karne ki. To ab aap apne according bitcoin kharid sakte hai.

Bitcoin Kya Hai

  1. Bitcoin purchase karne ke liye buy button par click kare.
  2. Jitne rupees ke bitcoin purchase karne hai utni amount enter kare.
  3. Finally buy button par click kar dijiye.

Iss tarike se aap zepbay app me account banakar isme paise submit karke bitcoins buy kar sakte hai. Bitcoin purchase karne ke baad ab aapko thode long time tak wait karna hai. Iss beech bitcoin value me thode utar chadhao aayenge. Lekin aapko sahi btc price ka wait karna hai. Aur jab btc price badh jaye uske baad isse sell kar dena hai.

 

Bitcoin Sell Kaise Kare

Bitcoin purchase karna jitna aasaan hai usse se jyada bitcoin sell karna hai. Ek baar bitcoin price high hone ke baad bitcoin sell kar sakte ho.

Bitcoin Kya Hai

  1. Bitcoin bechne ke liye Sell button par click kare. Aap partially aur full dono tarah se bitcoin sell kar sakte ho.
  2. Bitcoin sell karne ke baad paise bank me transfer karne ke liye Withdraw button par click kare. Aur apne bank me paise transfer kar dijiye.

Ab aap samajh gaye honge ki bitcoin kya hai aur bitcoin kaise sell aur purchase karte hai. Aur kis tarah se bicoin se earning kar sakte hai. Fir bhi mein aapko ek baar aapko bata dena chahte hu ki agar aapke paas extra money hai to ussi ko isme invest kare aur thode long time tak wait kare. Kyuki risk to hamesha kisi na kisi investment me bana hi rehta hai.

I hope aapko bitcoin se related ye jaankari helful lagi hogi. Fir bhi aapko koi saval ho to comment box me apna sawal puch sakte hai. Aur agar ye jaankari acchi lagi hoto isse apne friends ke sath bhi share jarur kare.

Ye Bhi Padhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Bitcoin Kya Hai Aur Bitcoin Se Earning Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.