SEO

Indiblogger Community Par Another Blog Submit Kaise Kare

Indiblogger community par another blog submit kaise karte hai aaj hum iss post me janenge. Agar aap new blogger hai to aapko apne blog ko indiblogger community par submit jarur karna chahiye. Isse aapke blog ki backlink increase hogi aur off page seo hoga. Search engine optimization (SEO) kisi bhi blog or website ke liye bahut jaruri hai. Isse aapki site ko google search engine me top rank to milti hi hai. Sath hi site par high quality traffic bhi increase hota hai.

Indian bloggers ke liye Indiblogger community ek popular aur high traffic site hai. Iss platform par new bloggers apna blog submit karte hai. Aisa karne se indian bloggers ko ek acchi backlink milti hai aur site ka off page seo bhi hota hai. Pichli post me meine aapko bataya tha ki indiblogger community par blog submit kaise karte hai. Lekin agar aapke paas ek se jyada blog hai to dusre blog ko indiblogger par submit kaise karte hai. Chaliye step by step janate hai.

 

Indiblogger Community Par Another Blog Submit Kaise Kare

 

Step 1

Sabse pehle indiblogger community ki official website me login kare.

another blog submit

  1. Top right side me profile image par click kare.
  2. Settings me jaye.

 

 

Step 2

Ab next window me aap indiblogger ki profile settings me pahuch jaoge. Yahapar aapko indiblogger community par dusra blog submit karne ke liye option mil jayega.

another blog submit

 

  1. Left side menue me blog par click kare.
  2. Add another blog ke red button par click kare.
  3. Apna blogging platform select kare. Aapka blog blogger, wordpress aur other platform par hai. Ya phir aap youtube channel ko indiblogger community par submit karna chahte hai, usse select kare.

 

 

Step 3

Ab ek popup window open hogi, isme Add button par click kare.

another blog submit

 

 

Step 4

Ab ek or popup window open hogi, isme aapki aapko login karne ko pucha jayega. Aapka dusra blog jiss email id se associate hai usse enter kare aur password dalkar next button par click kare.

another blog submit

 

 

Step 5

Iske baad ek aur popup open hoga, isme indiblogger aapko blog ko manager karne ke liye permission mangega. Yahapar allow buton par click kare.

another blog submit

 

 

Step 6

Next window me aap phir se indiblogger par redirect ho jayenge. Yahapar ek form open hoga isse niche diye steps ke according bhare.

another blog submit

  1. Blog URL me apna blog select kare.
  2. Blog Title me apne blog ka name enter kare.
  3. Tags box me apne blog se related tags enter kare.
  4. Language you blog in me apne blog ki language choose kare.
  5. Submit for moderation ke red button par click kare.

 

Lijiye aapka dusra blog bhi indiblogger community par submit ho gaya hai. Ab thoda wait kijiye lagbhag 5-7 dino me indiblogger moderators aapke blog ko activate kar denge.

 

Indiblogger community par another blog submit kaise karte hai ab aap samajh gaye honge. Ummeed karta hu aapko ye jaankari pasand aayi hogi. Iss post se related aapka koi sawal ho to comment karke jarur puche. Aur agar aapko ye jaankari helpful lage to isse share karna bilkul na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Indiblogger Community Par Another Blog Submit Kaise Kare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.