ANDROID

Android Mobile Phone Hang Hone Se Kaise Bachaye In Hindi

Hello friends, aaj iss post me hum janenge ki android mobile phone hang hone se kaise rokte hai. Duniya bhar me lakho karodo log android mobile phone use kar rahe hai. Aur inme se lagbhag har dusra user mobile hanging or freezing problem ko face karta hai.

Android sabse accha operating system hai mobile phones ke liye isliye mostly logo ke paas aajkal android phones hai. Aur kai log hai jo phone hang hone se kafi pareshan rehte hai. Agar aapka android mobile bhi hang ho raha hai to niche diye steps me mein aapko iska solution bata raha hu to chaliye start karte hai.

Android Mobile Phone Hang Kyu Hota Hai

Operating system me bugs aane ki vajah se bhi aapka android phone hang ho sakta hai. Agar aapke mobile me bahut jyada apps download hai to isse bhi aapka phone hang ho sakta hai. Google playstore se aap regularly apps download karte honge. Aur jyada apps download karne se aapke phone ki ram full ho jati hai aur aapka phone hang or freeze hone lagta hai.

Android Mobile Phone Hang Hone Se Kaise Bachaye In Hindi

Mobile phone ko hand hone se bachane ke liye kuch tips mein aapke sath share kar raha hu. Agar aapka phone bhi hang ho raha hai to niche diye easy steps ko follow kare. Aur apne android mobile phone ko fast aur smooth banaye.

Cached Data Ko Remove Kare

Sabse pehle apne android mobile ki setting me storage par jaye aur cached data ko remove kare. Cached data ko remove karne se phone ki ram kuch had tak free ho jayegi. Android mobile phone se cached data delete karne ke liye niche steps dekhe.

Step 1

Sabse pehle apne android mobile me setting option me jaye.

Android Mobile Phone Hang

 

Step 2

Ab storage ke under aapko kuch option show honge, yahapar cached data par click kare.

Android Mobile Phone Hang

 

Step 3

Ab ek popup open hoga isme cached data ko delete karne ke liye pucha jayega. Cached data ko remove karne ke liyie OK button par click kare.

Android Mobile Phone Hang

 

 

Uninstalled Applications Ke Folders Ko Delete Kare

Playstore se koi bhi app install karne par mobile phone ke device storage me uss application ka folder generate ho jata hai. Aur aap usse uninstall karte to application to remove ho jati hai lekin uska folder device storage se delete nahi hota. Isliye apne android mobile me uninstalled application ke data ko remove karne ke liye file manager me device storage par jaye. Aur unn sabhi unn folder ko delete kar dijiye jinki applications ko aap delete kar chuke hai. Isse aapke mobile ki speed aur jyada increase ho jayegi.

Step 1

Sabse pehle apne android phone me file manager ko open kare.

Android Mobile Phone Hang

 

Step 2

File manager open karne ke baad all files folder par click kare.

Android Mobile Phone Hang

 

Step 3

All file me do option milenge yahapar device storage par click kare.

Android Mobile Phone Hang

 

Step 4

Device storage me unn applications ke folders honge jinko aap uninstall kar chuke hai. Yahapar unn sabhi folder ko delete karna hai. Folder delete karne ke liye tick box me tick kare aur top side me delete icon par click kar dijiye.

Android Mobile Phone Hang

 

 

Unwanted Applications Ko Remove or Disable Kare

Jin mobile applications ko aap use nahi kar rahe hai unko disable or uninstall kar dijiye. Apps ko disable or unstall karke bhi aap apne phone ko hang hone se bacha sakte ho. Unwanted application ko remove or disable kaise karte hai niche steps me dekhiye.

Step 1

Sabse pehle apne android phone ki setting open kare aur application manager me jaye.

Android Mobile Phone Hang

 

Step 2

Application manager me aapke phone ki sabhi applications available honge. Yahapar jinn apps ka aap use nahi rahe hai unko uninstall aur disable kar sakte hai.

Android Mobile Phone Hang

 

Iss tarah se aap apne android phone ki ram ko kafi had tak khali kar sakte ho. Aur apne phone ko hand hone se bacha sakte ho. Iske sath hi aap app booster application ko apne android mobile me install karke bhi memory boost kar sakte hai. Aur junk files aur other miscellaneous files ko remove karke apne phone ki speed badha sakte hai.

 

I hope, aapko android mobile phone hang hone se bachane ki ye tips pasand aayi hogi. Agar aapka iss post se related koi saval ho to comment karke jarur puche. Aur agar ye jaankari aapko helpful lagi ho to isse apne friends ke sath social media par share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “Android Mobile Phone Hang Hone Se Kaise Bachaye In Hindi

  • Koi app Jo ki phone ko hang hone she bchaye

    Reply
  • best info sir asal me mera phone chalte chalte automatic hang hokar band ho jata hai….

    ya fir koi app use karte karte app chalna band ho jate hai koi solution sir…

    Reply
    • iske liye aap apne phone me unwanted apps ko delete kar lijiye, aur upar bataye steps ko follow kijiye.

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.