GOOGLE ADSENSE

Adsense Earnings Ko Direct Bank Account Me Transfer Kaise Kare

Google Adsense me account banakar aap online earning kar sakte hai. Pichli post me humne jana tha ki google adsense account kaise banate hai. Aur adsense account me multiple website kaise add karte hai. Aur aaj ki post me mein aapko bataunga ki kis tarah se aap adsense earnings ko direct apne bank account me transfer kar sakte hai.

Adsense earnings ko pehle adsense to paypal account me transfer karna padta tha aur phir apne bank account me. Ya phir check se adsense payment receive karne me kafi time lagta hai. Aur ye payment receive karne ke liye ek lumba process bhi hai. Lekin ab aap direct apne adsense account se bank account me fund transfer kar sakte hai. Yani ki adsense wire transfer enable kar sakte hai.

Bahut se adsense alternatives hai jinse hum online income kar sakte hai. But google adsense inn sabhi se jyada paise pay karta hai. In short google adsense publishers ke liye ek better advertising program hai. To chaliye dosto ab aapka jyada samay na lete hue step by step janate hai ki adsense me bank account kaise add kare.

Adsense Earnings Ko Direct Bank Account Me Transfer Kaise Kare

Step 1

Sabse pehle google adsense account me login kare. Ab jo page open hoga isme niche diye steps follow kare.

Adsense Earnings

 

 

  1. Settings par click kare.
  2. Payments me click kare.
  3. Add payment method par click kare.

 

Step 2

Ab ek form open hoga, isme apni bank ki detail dhyan se enter kare.

Adsense Earnings

 

  1. Beneficiary Id (optional) ko ignore kar sakte hai.
  2. Apna name bhare, jo name bank account me hai same vahi likhe.
  3. Apne bank ka name enter kare.
  4. Bank ka IFSC code enter kare.
  5. Apne bank ka SWIFT BIC code enter kare. IFSC aur SWIFT BIC code bank ke customer care se bhi puch sakte hai.
  6. Apna bank account number dono field me enter kare.
  7. Finally save button par click kar dijiye.

Lijiye aapka bank account aapke adsense account se connect ho chuka hai. Ab aap adsense se hui earning ko direct apne bank account me receive sakte hai.

Video Dekhe

I hope, aap samajh gaye honge ki kis tarah se adsense earnings ko apne bank account me transfer kiya jata hai. phir bhi aapka koi saval ho to apne comment ke through puch sakte hai. Aur agar ye post helpful lagi ho to isse social media par share bhi jarur kare.

Ye Bhi Padhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

9 thoughts on “Adsense Earnings Ko Direct Bank Account Me Transfer Kaise Kare

  • sumit kumar jain

    sir me baink baink gya information ke liye to unhone bola ki is type ki koi bhi payment withdraw nhi hoti
    mane unko iske bare me batay to be bole ki adsens kyo deta hai apko paisa or adsens kya iska koi prman hai or adsens or apke kya agreement hai bo mujhe dacument chahiye
    please help me

    Reply
    • aapko bank nahi jana hai bus diye gaye steps ke according apne adsense account ko apne bank se aap khud connect kar dijiye, payment sidhe bank me transfer ho jayegi simple

      Reply
  • Muhammad Junaid

    Dosto plzz meri help kren
    meny 2 din pehly youtube ka account bana ha.
    pehly mjhy kuch nahe pta tha per ab taqreeban sab pta chal chuka ha.
    mjhy ye jan’na chahta hoon youtube se earning kesy hoti ha.plz mjhy btayen.
    r dosri bat k bank mein account hona zrori ha…?
    Please mjhy Gmail mein reply krden plzz
    junaidjoura0304@gmail.com plz gmail py reply kren

    Reply
    • YouTube se earning karne ke liye aapke paas adsense account hona jaruri hai jiske through video me ads show honge aur bank account bhi hona chahiye jo adsense se link ho aur aapki earning widrawl ho sake

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.