FACEBOOK

Facebook Page Admin Ko Page Me Add Aur Remove Kaise Kare

Hello friends, aaj ki post me hum janenge ki facebook page me facebook page admin ko kaise add karte hai. Facebook page create karne ke kya kya fayde hai ye mein aapko pehle hi bata chuka hu. Phir bhi me aapko bata du ki facebook me page banakar jyada se jyada logo se jud sakte hai. Aur apne talent, interest aur business ko facebook par promote kar sakte hai. Agar aapke facebook business page par likes kafi jyada increase ho jate hai, to aap facebook se earning bhi kar sakte ho.

Facebook page administrator hone ke nate page par sara control aur rights aapke paas hote hai. Aur kisi karan apne kisi friend ko page admin banate ho to vo sabhi rights aur control aapke friends ko bhi mil jayenge. Isliye facebook page admin ko page me add karne se pehle acchi tarah se soch lijiye.

Facebook Page Admin Ko Page Me Add Aur Remove Kaise Kare

Facebook page administrator ko page me add karna bahut hi simple hai. Niche diye easy steps follow karke aap aasani se kisi ko bhi faceboo page ka admin bana sakte hai. To chaliye ab step by step janate hai ki kisi aur ko facebook page ka admin kaise banate hai.

 

Facebook page administrator ko page me add karne ke liye sabse pehle apne facebook account me login kare. Aur apne uss facebook fan page ko open kare, jisme facebook page admin ko add karna hai.

Facebook Page Admin

  1. Settings par click kare.
  2. Left side menu me page roles par click kare.
  3. Assign a new page role ke niche box me uss user ko search kare, jisse facebook page admin banana chahte hai.
  4. Dropdown menu par click kare aur Admin select kare.
  5. Finally Add button par click kar dijiye.

Lijiye facebook page me admin add ho gaya hai. Issi tarah se jisse chahe uss friend ko apane sath facebook page admin bana sakte hai. Aur yahi se admin ko remove bhi kar sakte hai. Yahi nahi aap kisi ko bhi admin ke alawa alag alag role assign kar sakte ho.

For example:-

  • Editor roll bhi admin ke similar hota hai, lekin admin ki tarah pure rights editor ke paas nahi hote hai.
  • Moderator page par comments ka reply kar sakta hai. Aur posts aur messages ko delete kar sakta hai. Page se logo ko remove aur block kar sakta hai. Page par kisne publish kiya hai, view insights aur create ads ko access kar sakta hai.
  • Advertiser insight view aur ad create kar sakta hai. Page par kisne publish kiya ye check kar sakta hai.
  • Analyst insight view check kar sakta hai.
  • Live Contributor mobile device se page par live pahuch sakta hai.

 

Other Facebook Page Admin Ko Page Se Remove Kaise Kare

Facebook page se other admin ko remove karne ke liye page > settings > page roll me jaye. Thoda sa scroll down kare aur edit button par click kare.

 

Edit button par click karte hi aapko other facebook page administrator ko remove karne ka option show ho jayega. Yahapar remove link par click kar save button par click kar dijiye.

 

Save button par click karte hi other facebook administrator aapke page se delete ho jayega. Issi tarah se aap facebook page par admin add aur remove kar sakte hai.

To dosto ab aap samajh gaye honge ki fb fan page me facebook page administrator kaise add/remove karte hai. Aur facebook page me alag alag roll kya kya hai. Agar post se related kisi bhi tarah ka saval ho to comment karke jarur puchhe. Aur agar ye post acchi lagi ho to apne dosto ke sath social media par share karna bilkul na bhule.

Ye Bhi Padhe

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

7 thoughts on “Facebook Page Admin Ko Page Me Add Aur Remove Kaise Kare

  • Nurooddin khan

    Bhai agar admin id ko group se remove kre ti ye ho payega ya nhi

    Reply
    • ha ho jayega, iske liye facebook page > settings > page roll me jaye aur bottom side me admin ke samne edit button par click kare aur remove kar dijiye.

      Reply
  • Sar many galte sy apny page my admin remove kar deya hy or mara page he mare id sy gaip ho gaya my ab kya karu plz bata dy

    Reply
  • BHai many apny page ka admin galte sy remove kar deya hy darasl my ek he admin tha many galte sy remov ka batan daba deya or mara page he mare id sy gayap hu gaya hy kya mara page dobara wapas a saqta hy plzz bata dy

    Reply
    • Agar aapke fb page me aapke alawa koi other user bhi admin hai to aap usse bolkar khud ko dubara se admin bana sakte hai but agar nahi hai to iske alawa koi dusra option nahi hai jisse aap fir se page admin ban sake

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.