WORDPRESS

WordPress Blog Ki Post Me Colorfull Button Kaise Add Kare Plugins Ki Help Se

Friends, aaj ka humara topic hai ki wordpress blog ki post me colorfull button kaise add kare. Agar aap apne blog par buttons add karna chahte hai to html or css shortcodes ka use kare bina bhi easily add kar sakte ho. Iske liye aapko apne wordpress blog me ek plugin install karna hoga.

Plugin ka name forget about shortcode buttons hai. Iss plugin ko aap niche diye gaye button par click karke direct install kar sakte hai. Issi tarah aap apni blog post me alag alag buttons jaise ki read more, download, subscribe us etc buttons add kar sakte hai. Example niche dekh sakte hai.

FORGET ABOUT SHORTCODE BUTTONS

Subscribe Us On Youtube                                           Join Our Facebook Group

Like Hinglish Help Facebook Page                              Connect On Twitter   

 

WordPress Blog Ki Post Me Colorfull Button Kaise Add Kare Plugins Ki Help Se

Blog post me colorful buttons add karna bahut hi easy hai. Iss plugin ke use se buttons kaise create karte hai aaiye step by step janate hai.

Step 1

Sabse pehle wordpress dashboard me plugins > new plugins me jaye. Ab search box me forget about shortcode buttons key kare. Kuch hi der me aapke samne ye plugin filter ho jayega, isse install aur activate kar lijiye.

Colorfull Button

 

 

Step 2

Ab aapne colorful button add karne ke liye plugin install kar liya hai. Ab janate hai ki wordpress blog ki post me iska use kaise karte hai. Blog post me colorful button add karne ke liye sabse pehle new post ya old post ko open kare. Aur right side me insert button ke icon par click kare.

Colorfull Button

 

 

Step 3

Insert button par click karte hi ek popup window open hogi. Isme niche diye gaye steps follow kare.

Colorfull Button

  1. Properties tab me jaye.
  2. Agar button me koi icon add karna hai to icon tab me jakar select kar sakte hai.
  3. Button me jo text show karna hai usse box me key kare.
  4. Button par click karte hi jiss link me bhejna chahte hai uska url enter kare.
  5. Text color set kare.
  6. Button color set kare.
  7. Button ka type or shape select kare.
  8. Size select kare, small, medium, large or extra large koi bhi size select kar sakte hai.
  9. Finally insert button par click kar dijiye.

Jaise hi aap insert button par click karenge, aapki blog post me colorful button add ho jayega. Niche image me aap dekh sakte hai post me jo button add hoga vo kuch iss tarah se show hoga.

Colorfull Button

 

Issi tarah se aap blog post me alag alag shape aur icon ke sath colorfull button add kar sakte hai. Aur button me link add kar sakte hai jisme aap apne visitors ko bhejna chahte hai.

WordPress blog post me colorfull button kaise add karte hai, ab aap samajh hi gaye honge. I hope aapko ye post acchi lagi hogi. Agar aapka koi sabal ho iss post se related to comment karke puch sakte ho. Aur agar ye article aapko helpful laga ho to isse social media par apne friends ke sath share bhi jarur kare.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

4 thoughts on “WordPress Blog Ki Post Me Colorfull Button Kaise Add Kare Plugins Ki Help Se

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.