BLOGGERROBOT TEXT

Robot Text File Ko Blog Me Add Kaise Kare

Hello friends, agar aapka blog hai aur aap chahte hai ki blog ki kuch posts ya pages google search engine me index na ho to iske liye robot.txt file ko blog me add karna aapke liye better option rahega, aur robot text ko blog me kaise add karte hai, aaj iss topic me hum janenge.

Sabhi websites ki apni ek robot txt file hoti hai, aur uss robots file me ye set hota hai ki search engine me kya index karna hai aur kya nahi, robots txt disallow ka use karke hum apni website ka koi bhi page ya post ko bing aur google indexing se rok sakte hai.

Robot Text Kya Hai

Robots txt file ek text file hoti hai, aur iske help se hum ye set kar sakte hai ki search engine jaise google search ya bing search engine me kya hide karna hai ya kya show karna hai, agar koi visitors humare blog se related keywords search karta hai to robots txt disallow or allow ke according search result show hota hai, to ab aap samajh gaye honge ki robots txt file kya hoti hai.

Robot Text File Kaise Banate Hai

Robots txt generators me code generate karke hum apne blog ke liye robots file create kar sakte hai, to chaliye step by step jante hai ki kya karna hai.

 

??Blogger Post Me Search Description Kaise Add Kare

Step 1

Sabse pehle Robots txt generator link par click kare.

Robot Text

  1. Http:// ke sath apne blog ka URL dale.
  2. Generate sitemap button par click kare.

 

??Blog Banane Ke Baad Kya Kare

Step 2

Ab next page me ek xml sitemap code generate ho jayega, isse select all kar ke copy kare.

Robot Text

 

??Bing Webmaster Tools Me Blog Submit Kaise Kare

Step 3

Ab aapko xml sitemap code blogger custom robot text me add karna hai, iske liye sabse pehle blogger me login kare aur dashboard me jaye.

Robot Text

  1. Settings par click kare.
  2. Search preferences me click kare.
  3. Custom robot text ke samne Edit link me click kare.

 

??Google Keywords Planner Tools Ka Use Kaise Kare

Step 4

Ab ek box open hoga, isme aapko xml sitemap code paste karna hai.

Robot Text

  1. Yes tick box me tick kare.
  2. Jo xml sitemap code copy kiya tha, usse box me paste kare.
  3. Save changes button par click kare.

 

Lijiye ab aapke blog me custom robots file add ho chuki hai, aur aap jaan gaye hai ki blogger blog me custom robot text file add kaise karte hai, lekin isme ek chhoti si galti se search engine me aapki site ki traffic rank par bura asar pad sakta hai, isliye iska use dhyan se kare.

??Indiblogger Community Par Blog Submit Kaise Kare

Robot Text Allow Aur Robot txt Disallow Kaise Use Kare

Robot txt file ki help se hum ye set kar sakte hai ki apni site me kis post, page aur labels ko search engine me show nahi karna hai ya show karna hai, agar aap disallow me link add karenge to search engine me show nahi hoga, aaiye dekhte hai kaise karna hai.

??Blogger Post Body Ke Niche Share Button Kaise Lagaye

For examples:-

Post Disallow Karna Hai

Disallow:/2016/03/blog-post.html

Pages Disallow Karna Hai

Disallow:/p/contact-us.html

Labels Disallow Karna hai

Disallow:/seach/label/blog label

Issi tarah se aap disallow ko allow bhi kar sakte hai, for example:-

Allow:/2016/03/blog-post.html

Allow:/p/contact-us.html

Allow:/seach/label/blog label

Upar diye examples ki tarah aap apne according allow aur disallow set kar sakte hai, aur robots txt file ki help se hum set kar sakte hai ki search engine me kya index karna hai aur kya nahi karna hai.

Ummeed hai ki aapko robot text file generate karne se related ye post acchi lagi hogi, agar phir bhi koi saval ho to aap comment ke dwara puch sakte hai, aur agar post acchi lagi ho to social networking sites par isse apne dosto ke sath share karna na bhule.

Ramesh Singh

Hello Dosto ! Mera Naam Ramesh Singh Hai. Main Ek Passionate Blogger Hun. Ye Website Maine Banai Hai. Is Website Par Main Longo Ko Hindi Me Jankari Deta Hun Aur Unki Help Karta Hun. Read More

2 thoughts on “Robot Text File Ko Blog Me Add Kaise Kare

  • hello sar ye mera website he http://www.questationanswer.tk please chek karke bataye . kya kaami he .

    sir mene google webmaster tool me Aapni website ki sitemap submite kaar chuka hu . aur 202 url submited likh rahahe . magar 1 bhi post Aabhitaak index nahi hua he . kyu 4 Day ho gaya submite karke

    Reply
    • aapki site home page par aapki posts show nahi ho rahi hai, isliye apna template aur site navigation thik kijiye. aur page index aapki site par quality contents aur backlink ke base par hoti hai. aur google computer algorithm se page index karta hai. isliye ho sakta hai ki apki page rank top par nahi ho. site ko google webmaster ke alawa other social sites par proper share kijiye, hope aapki site top index me aa jayegi.

      Reply

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.